Shayari

Sad Urdu Shayari in Hindi – Best of Urdu Shayari In Hindi (2018)

Sad Urdu Shayari In Hindi: Here we make a good collection of Urdu Shayari in Hindi. This Sad Shayari written by the famous Shayar and they all have Shayari on sad love. In this collection of Sad Urdu Shayari in Hindi, we try to create a sadness based upon the Sher. Urdu Shayari not only for one meaning but it contains so many meanings. It depends upon the mood of the readers and it is the beauty of the Urdu Shayari.

Sad Urdu Shayari in Hindi is a great title that contains all types of Sher and so many Shayar wrote on this kind of Shayari. For Sad Shayari, you can read the poetry of Daag Dehlvi and Jaun Elia. These two Urdu poets came in category of best Urdu poets. So read this collection of Sad Urdu Shayari in Hindi and enjoy it.

Sad Urdu Shayari In Hindi

 

Itna manus na ho khalvat-e-gham se apni

tu kabhi khud ko bhi dekhega to Dar jaega

 

इतना मानुस ना हो खलवत-ए-घाम से अपनी

तू कभी खुद को भी देखेगा तो दर जाए

 

zindagi terri ata hai to ye jaane wala

teri bakhshish teri dahliz pe dhar jaega

 

ज़िंदगी तेरी आता है तो ये जाने वाला

तेरी बखसीश तेरी दहलीज़ पे ध्र जाएगा

 

Aashiqi me ‘mir’ jaise khawab mat dekha karo

bawle ho jaoge mahtab mat dekha karo

 

आशिक़ी मे ‘मीर’ जैसे खवाब मत देखा करो

बावले हो जाओगे महताब मत देखा करो

 

is tamashe men ulat jaati hai aksar kashtiyan

Dubne walon ko zer-e-ab mat dekha karo

 

इस तमाशे में उलट जाती है अक्सर कश्तीयाँ

डूबने वालों को ज़ेर-ए-अब मत देखा करो

 

mai-kade men kya takalluf mai-kashi men kya hijab

bazm-e-saqi men adab adab mat dekha karo

 

मये-कादे में क्या तकल्लूफ मये-काशी में क्या हिजाब

बज़म-ए-साक़ी में अदब अदब मत देखा करो  

 

mange-tange ki qabaen der tak rahti nahin

yaar logon ke laqab-alqab mat dekha karo

 

माँगे-टाँगे की कबाए देर तक रहती नहीं

यार लोगों के लक़्ब-अलक़ब मत देखा करो

 

sahra-e-zindagi men koi dusra na tha

sunte rahe hain aap hi apni sadaen ham

 

Best Urdu Shayari In Hindi

 

सहरा-ए-ज़िंदगी में कोई दूसरा ना था

सुनते रहे हैं आप ही अपनी सदाएं हम

 

is zindagi men itni faraghat kise nasib

itna na yaad aa ki tujhe bhul jaye ham

 

इस ज़िंदगी में इतनी फॅराघत किसे नसीब

इतना ना याद आ की तुझे भूल जाए हम

tu itni dil-zada to na thi ai shab-e-firaq

aa tere raste men sitare lutaye ham

 

तू इतनी दिल-ज़्दा तो ना थी अए शब-ए-फिराक़

आ तेरे रास्ते में सितारे लुटाए हम

 

Urdu Shayari In Hindi

 

wo log ab kahan hain jo kahte the kal ‘faraz’

he he khuda-na-karda tujhe bhi rulaye ham

 

वो लोग अब कहाँ हैं जो कहते थे कल ‘फ़राज़’

हे हे खुदा-ना-कारदा तुझे भी रुलाए हम

 

ab ke ham bichde to shayad kabhi khwabon men mile

jis tarah sukhe hue phul kitabon men mile

 

Dhundh ujde hue logon men wafa ke moti

ye khazane tujhe mumkin hai kharabon men mile

 

gham-e-duniya bhi gham-e-yar men shamil kar lo

nasha badhta hai sharaben jo sharabon men mile

 

घाम-ए-दुनिया भी घम-ए-यार में शामिल कर लो

नशा बढ़ता है शराबे जो शराबो में मिले

 

aaj ham dar pe khinche gae jin baton par

kya ajab kal wo zamane ko nisabon men milen

 

आज हम दर पे खींचे गए जिन बातों पर

क्या अजब कल वो ज़माने को निसाबो में मिलें

 

ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jana

yaad kya tujh ko dilaye tera paiman jana

 

अब के तजदीद-ए-वफ़ा का नहीं इम्कान जाना

याद क्या तुझ को दिलाए तेरा पैमान जाना

 

yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai

kis qadar jald badal jaate hain insan jana

 

zindagi teri ata thi so tere naam ki hai

ham ne jaise bhi basar ki tere ehsan jana

dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi

dil ki kya baat karen dil to hai nadan jana

 

Latest Urdu Shayari In Hindi

 

avval avval ki mohabbat ke nashe yaad to kar

be-piye bhi tira chehra tha gulistan jana

 

अव्वल अव्वल की मोहब्बत के नशे याद तो कर

बे-पिए भी तेरा चेहरा था गुलिस्ताँ जाना

 

akhir akhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin

rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jana

 

आख़िर आख़िर तो ये आलम है की अब होश नहीं

राग-ए-मीना सुलग उठी की राग-ए-जान जाना

 

muddaton se yahi aalam na tavaqqo na ummeed

dil pukare hi chala jaata hai jana jana

 

ham bhi kya saada the ham ne bhi samajh rakkha tha

gham-e-dauran se juda hai gham-e-jana jana

 

हम भी क्या सादा थे हम ने भी समझ रक्खा था

घम-ए-दौरान से जुड़ा है घम-ए-जाना जाना

 

Sad Urdu Shayari In Hindi

 

ab ke kuch aisi saji mahfil-e-yaran jana

sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban jana

 

अब के कुछ ऐसी सजी महफ़िल-ए-याराँ जाना

सर-बा-ज़नू है कोई सर-बा-ग़रेबान जाना  

 

har koi apni hi awaz se kanp uthta hai

har koi apne hi saae se hirasan jana

 

jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai

 shahr ka shahr hua daḳhil-e-zindan jana

 

 जिस को देखो वही ज़ंजीर-बा-पा लगता है

शाहर का शाहर हुआ दाखिल-ए-ज़िंदान जाना

 

ab tera zikr bhi shayad hi ghazal men aae

aur se aur hue dard ke unvan jana

 

अब तेरा ज़िक्र भी शायद ही गाज़ल में आए

और से और हुए दर्द के उंवान जाना

 

hosh aaya to sabhi ḳhwab the reza reza

jaise udte hue auraq-e-pareshan jana

 

होश आया तो सभी खवाब थे रेज़ा रेज़ा

जैसे उड़ते हुए औराक़-ए-परेशन जाना

Below written sher is updated in the year 2020

Aur to kya tha bechne ke liye
Apni Aankho ke khwab beche hai

और तो क्या था बेचने के लिए
अपनी आँखो के ख्वाब बेचे है

So this is all about Sad Urdu Shayari in Hindi. We hope you enjoyed this. If you have any kind of query or suggestion please write to us in the comment box below.

Ahmad Faraz Shayari 2 lines – Best of Faraz Ahmad 2 lines

2 line romantic Shayari in Hindi – 2 लाइन रोमैंटिक शायरी इन हिन्दी

Jigar Moradabadi Shayari in Hindi – Best of Jigar Moradabadi

Arsh Ali

View Comments

Published by
Arsh Ali

Recent Posts

Nasha Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More

3 years ago

Barish Shayari In Hindi| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More

3 years ago

Tadap Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More

3 years ago

Personality Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More

3 years ago

Pyar Ki Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More

3 years ago

Rajneeti Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm

Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More

3 years ago

This website uses cookies.

Read More