Emotional Shayari in Hindi on life – Munawwar Rana Updated(2018)

Emotional Shayari in Hindi on life. We made a collect of Emotional Shayari in Hindi on life by Munawwar Rana. Munnawar is a shayar who wrote a lot on life so we collect some good sher and made a collection of emotional shayari in hindi on life.  This is our best collection of emotional Shayari on life bu Munawwar Rana. Munawwar Rana is a very famous shayar and his shayar is amazing. He has talent to play with words and has the ability to make sher from every aspect of life. So read this collection of emotional shayari in hindi on life.

Emotional Shayari in Hindi on life

Ek zakhmi parinde ki tarah jaal me ham hain

ay ishq abhi tak tere janjaal me ham hain

 

एक ज़ख़्मी परिंदे की तरह जाल मे हम हैं

ए इश्क़ अभी तक तेरे जंजाल मे हम हैं

 

Haste hue chehre ne bharam rakha hamara

Wo dekhne aye the ke kis haal me ham hain

 

हस्ते हुए चेहरे ने भरम रखा हमारा

वो देखने आए थे के किस हाल मे हम हैं

 

Ab apki marzi hai sambhle na sambhale

Khushbu ki tarah aapke rumaal me ham hain

 

अब आपकी मर्ज़ी है संभाले ना संभाले

खुश्बू की तरह आपके रुमाल मे हम हैं

 

Ham se muhabbat karne wale rote hi rah jayenge

Ham jo kisi din soye to sote hi rah jaynge

 

हम से मुहब्बत करने वाले रोते ही रह जाएँगे

हम जो किसी दिन सोए तो सोते ही रह जाएँगे

 

Main apne ap ko itna samet sakta hu

Kahi bhi kabr bana do mai let sakta hu

 

मैं अपने आप को इतना समेत सकता हू

कही भी कब्र बना दो मैं लेट सकता हू

 

Manzil ate hi ek paon kat gaya

Chaudhi hui sadak to mera gaon kat gaya

 

मंज़िल आते ही एक पावं कट गया

चौड़ी हुई सड़क तो मेरा गाओं कट गया

Best Emotional Shayari in Hindi on life

This Gazal of Munawwar Rana is awesome. This is the best part of our collection of emotional Shayari in Hindi on life. Please read this we hope you will enjoy this.

 

Aisa udhu ke jaal na aye khuda kare

Raste me aspataal na aye khuda kare

 

ऐसा ऊढू के जाल ना आए खुदा करे

रास्ते मे अस्पताल ना आए खुदा करे

 

Ab usse dosti hai to fir dosti hi rahe

Shishe me koi baal na aye khuda kar

 

अब उससे दोस्ती है तो फिर दोस्ती ही रहे

शीशे मे कोई बाल ना आए खुदा करे

 

Meri mutthi se ye balu sarak jane ko kahti hai

Ke ab ye zindagi mujhse bhi thak jane ko kahti hai

 

मेरी मुट्ठी से ये बालू सरक जाने को कहती है

के अब ये ज़िंदगी मुझसे भी थक जाने को कहती है

Jise ham odh kar nikle the aagaz-e-jawani me

Wo chadar zindagi ki ab masak jane ko kahti hai

 

जिसे हम ओढ़ कर निकले थे आगाज़-ए-जवानी मे

वो चादर ज़िंदगी की अब मसक जाने को कहती है

 

Kahani zindagi ki kya sunaye ahal-e-mahfil ko

Shakar ghulti nahi aur kheer pak jane ko kahti hai

 

कहानी ज़िंदगी की क्या सुनाए अहल-ए-महफ़िल को

शकर घुलती नही और खीर पक जाने को कहती है

 

Mai apni lad-khadahat se pareshaan hu magar poti

Meri ungli pakad kar door tak jane ko kahti hai

 

मैं अपनी लड़-खड़ाहट से परेशान हू मगर पोती

मेरी उंगली पकड़ कर दूर तक जाने को कहती है

 

Hindi emotional shayari – Munawwar Rana

 

Tijoriyo me na raahe khuda me jati hai

Yaha sari kamai dawa me jati hai

 

तिजोरियो मे ना राहे खुदा मे जाती है

यहा सारी कमाई दवा मे जाती है


Bulandiyo ka safar bhi ajeeb hota hai

Patang dekhiye kaise hawa me jati hai

 

बुलंदियो का सफ़र भी अजीब होता है

पतंग देखिए कैसे हवा मे जाती है

 

Gazal har ahed me hamse saleeka puchne aayi

Bareli me kaha milta hai surma puchne aayi

 

ग़ज़ल हर अहेद मे हमसे सलीका पूछने आई

बरेली मे कहा मिलता है सुरमा पूछने आई

 

Mila hai hame ye sila kato’n pe chalne ka

Ke har khushbu ham hi se apna shajra puchhne aayi

 

मिला है हमे ये सिला केटो’न पे चलने का

के हर खुश्बू हम ही से अपना शजरा पुच्छने आई

 

Emotional Shayari in hindi on life

 

Mere lahje ki shaffaki ke charche aam hai itne

Kayi din tak ek talwaar nuskha puchhne aayi

 

मेरे लहजे की शफ्फकी के चर्चे आम है इतने

काई दिन तक एक तलवार नुस्ख़ा पुच्छने आई

 

Mai jab tak dunya me tha to haal tak mera nahi pucha

Mai jab chalne laga to saari dunya puchne ayi

 

मैं जब तक दुन्या मे था तो हाल तक मेरा नही पूछा

मैं जब चलने लगा तो सारी दुन्या पूछने आई

 

Darbar me jab ohdo’n ke liye pairo’n pe aan gir jati hai

Kaumo ke sar jhuk jate hai chakraakar haya gir jati hai

 

दरबार मे जब ओहदो’न के लिए पैरो पे आन गिर जाती है

कौमो के सर झुक जाते है चकराकर हया गिर जाती है


Ab taak hamari aankho ne bas do hi tamashe dekhe hain

Ya kaum ke rahbar girte hain ya log sawa gir jate hain

 

अब ताक हमारी आँखो ने बस दो ही तमाशे देखे हैं

या क़ौम के रह्बर गिरते हैं या लोग सवा गिर जाते हैं


Pahle bhi hatheli choti thi ba bhi hatheli choti hai

Kal isse shakkar gir jati thi ab isse dawa gir jati hai

 

पहले भी हथेली छोटी थी बा भी हथेली छोटी है

कल इससे शक्कर गिर जाती थी अब इससे दवा गिर जाती है

 

Best Collection of emotional Hindi Shayari

 

Gidh gidhaye nahi ham hamd-o-sana se mangi

Bheekh bhi hamne jo mangi to khuda se mangi

 

गिड़गिडाए नही हम हम्द-ओ-साना से माँगी

भीख भी हमने जो माँगी तो खुदा से माँगी


Haath bandhe rahe palko ko jhukaye rakha

Daad bhi hamne jo mangi to haya se mangi

 

हाथ बँधे रहे पॅल्को को झुकाए रखा

दाद भी हमने जो माँगी तो हया से माँगी


Ye bhi udh jaye ek chidhya jo bachi hai ghar me

Itni muhlat to bahar haal khuda se mil jaye

 

ये भी ऊड जाए एक चिढ़या जो बची है घर मे

इतनी मुहलत तो बाहर हाल खुदा से मिल जाए


Tum bhi sabit huye kamzoor munawwar rana

Zindagi mangi bhi tumne to dawa se mangi

 

तुम भी साबित हुए कमज़ोर मुनव्वर राना

ज़िंदगी माँगी भी तुमने तो दवा से माँगी


Kisi ke zakhm par chahat se patti kon bandhega

Agar bahen nahi hogi to rakhi kon bandhega

 

किसी के ज़ख़्म पर चाहत से पट्टी कौन बाँधेगा

अगर बहेन नही होगी तो रखी कों बाँधेगा

 

Latest shayari by Munawwar Rana

 


Jaha ladki ki izzat lutna ek khel ban jaye

Waha par ay kabootar tere chitthi kon bandhega

 

जहा लड़की की इज़्ज़त लूटना एक खेल बन जाए

वाहा पर ए कबूतर तेरे चिट्ठी कौन बाँधेगा

 

Laut kar kaise bhi ho ay jaan-e-padar aa jana

Aisi waisi jo khabar sunna to ghar a jana

 

लौट कर कैसे भी हो ए जान-ए-पदार आ जाना

ऐसी वैसी जो खबर सुनना तो घर आ जाना

 

Waqt-e-rukhsat hame izzat se salami dene

Jab doobone lage darya to nazar a jana

 

वक़्त-ए-रुखसत हमे इज़्ज़त से सलामी देने

जब डूबोंने लगे दरया तो नज़र आ जाना

 

Emotional shayari in hindi


Kabhi kabhi to pairhan se aati hai

Wohi mahek jo tumhare badan se aati hai

 

कभी कभी तो पैरहन से आती है

वोही महेक जो तुम्हारे बदन से आती है

 

Hamare dil se acha hai aiyna tera

Tut ta hai to aawaaz chhan se ati hai

 

हमारे दिल से अच्छा है अईयना तेरा

टूट ता है तो आवाज़ छन से आती है

 

Mai uske badan pe kafoor mal ke aya tha

Magar gulab ki khushbu kafan se aati hai

 

मैं उसके बदन पे काफूर मल के आया था

मगर गुलाब की खुश्बू कफ़न से आती है


Ek khwab ki surat hi sahi, yaad hai ab tak

Maa kahti thi le odh le is shaal me ham hain

 

एक ख्वाब की सूरत ही सही, याद है अब तक

मा कहती थी ले ओढ़ ले इस शाल मे हम हैं

 

Shayari In Hindi

 

Ham rone lage jo phoot ke jo maut ke dar se

Neki ne kaha namaye amaal me ham hain

 

हम रोने लगे जो फूट के जो मौत के डर से

नेकी ने कहा नमाए अमाल मे हम हैं

 

Maula ye tamanna hai ke jab jaan se jayen

Jis shaan se aye hain usi shaan se jayen

 

मौला ये तमन्ना है के जब जान से जाएँ

जिस शान से आए हैं उसी शान से जाएँ

 

Bacho’n ki tarah pedh ki shakho’n se mai koodu

Chidyo’n ki tarah ud ke khaliyaan se jaye’n

 

बच्चों की तरह पेड की शाखों से मैं कूदु

चिढ़यों की तरह उड़ के खलियान से जाए’न


Har lafz mahakne lage likha hua mera

Mai lipta hua yaado’n ke lobaan se jaye’n

 

हर लफ्ज़ महकने लगे लिखा हुआ मेरा

मैं लिपटा हुआ यादों के लोबान से  जाए’न

 

Kya sookhe hue phool ki kismat ka bharosa

Maloom nahi kab tere guldaan se jaye

 

क्या सूखे हुए फूल की किस्मत का भरोसा

मालूम नही कब तेरे गुल्दान से जाए

 

Zinda mujhe dekhegi to maa cheekh padhegi

Kya zakhm liye peeth pe maidaan se jaye

 

ज़िंदा मुझे देखेगी तो मा चीख पढ़ेगी

क्या ज़ख़्म लिए पीठ पे मैदान से जाएँ

 

Mujhe bhi us ki judai satati rahti hai
Use bhi khwab me beta dikhai deta hai

मुझे भी उस की जुदाई सताती रहती है
उसे भी ख्वाब मे बेटा दिखाई देता है

So it is our latest collection of emotional Shayari in Hindi on life. If you liked then please tell us how was your opinion about this collection of emotional Shayari in Hindi. Please write to us in the comment box.

 

shayari in hindi about life 

sad shayari in hindi for life

Sher o Shayari on Zindagi

 

Arsh Ali

Published by
Arsh Ali

Recent Posts

Nasha Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More

2 years ago

Barish Shayari In Hindi| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More

2 years ago

Tadap Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More

2 years ago

Personality Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More

3 years ago

Pyar Ki Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More

3 years ago

Rajneeti Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm

Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More

3 years ago

This website uses cookies.

Read More