2 line romantic Shayari in Hindi: Here we made a collection of 2 line romantic Shayari in Hindi. In this collection, we tried to have some good Sher from very famous poets like Ahmad Faraz. Most of the content of this article 2 line romantic Shayari in Hindi, by Ahmad Faraz and Wasi Shah.
They both are the very famous poet of their era. You can share this kind of good Shayari to your loving one at Facebook, Twitter or Instagram. We are very sure he/she definitely loves this Shayari. It is quite difficult to write on 2 line romantic Shayari in Hindi but we tried to deliver the best Sher from classic Shayari h. We hope you enjoy this collection of 2 line romantic Shayari in Hindi.
********************************
Meri aanko me noor ane laga hai
Ajab dil me suroor ane laga hai
मेरी आँखो मे नूर आने लगा है
अजब दिल मे सुरूर आने लगा है
Tujhe mil kar khushi payi hai aisi
Mujhe khud pe guroor ane laga hai
तुझे मिल कर खुशी पाई है ऐसी
मुझे खुद पे गुरूर आने लगा है
********************************
Haal dil ka sunana pad jaye
Roye ke shayad dikhana pad jaye
हाल दिल का सुनना पड़ जाए
रोए के शायद दिखना पड़ जाए
Ishq ko kheel mat samajhna tum
Kya khabar jaan se jana pad jaye
इश्क़ को खेल मत समझना तुम
क्या खबर जान से जाना पड़ जाए
********************************
Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
So uske shaher me kuch din thaher ke dekhte hain
सुना है लोग उसे आँख भर के देखते हैं
सो उसके शहेर मे कुछ दिन ठहेर के देखते हैं
Suna hai rabt hai usko kharab haalon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain
सुना है रब्त है उसको खराब हालों से
सो अपने आप को बर्बाद कर के देखते हैं
Suna hai dard ki gaahak hain chashme naaz uski
So ham bhi uski gali se guzar ke dekhte hain
सुना है दर्द की गाहक हैं चश्मे नाज़ उसकी
सो हम भी उसकी गली से गुज़र के देखते हैं
Suna hai usko bhi sher-o-shayari se hai shifaf
So ham bhi mojze apne hunar ke dekhte hai
सुना है उसको भी शेर-ओ-शायरी से है शिफाफ
सो हम भी मोज्ज़े अपने हुनर के देखते है
Suna hai bole to baato se phool jhadte hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
सुना है बोले तो बातो से फूल झड़ते हैं
ये बात है तो चलो बात कर के देखते हैं
Suna hai raat use chaand takta rahta hai
Sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
सुना है रात उसे चाँद तकता रहता है
सितारे बाम-ए-फलक से उतार के देखते हैं
Suna hai din ko use titliyaan satati hain
Suna hai raat ko jugnu thaher ke dekhte hain
सुना है दिन को उसे तितलियाँ सताती हैं
सुना है रात को जुगनू ठहेर के देखते हैं
Suna hain hashr hain uski gazaal si aankhen
Suna hai hiran us ko dasht bhar ke dekhte hain
सुना हैं हश्र हैं उसकी ग़ज़ाल सी आँखें
सुना है हिरन उस को दश्त भर के देखते हैं
Suna hai raat se badh kar hain kakile uski
Suna hai shaam ko saye guzar ke dekhte hain
सुना है रात से बढ़ कर हैं काकिलें उसकी
सुना है शाम को साए गुज़र के देखते हैं
Suna hai uski badan ki tarash aisi hai
Ke phhol apni kabae qatar ke dekhte hain
सुना है उसकी सियाह चश्म भी क़यामत है
सो उसको सूरमा फ़रोश आह भर के देखते हैं
Suna hai uske labon se gulab jalte hain
So ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhte hain
सुना है उसके लबों से गुलाब जलते हैं
सो हम बहार पर इल्ज़ाम धर के देखते हैं
Suna hai aaina tamshaal hai jabeen uski
Jo sada dil hain use ban sawar ke dekhte hain
सुना है आईना तम्शाल है जबी उसकी
जो सदा दिल हैं उसे बन संवर के देखते हैं
Suna hai chashm-e-tasawwur se dashte imkaa’n me
Palag zaviye uske kamar ke dekhte hain
सुना है चश्म-ए-तसवउर से दश्ते इम्का’न में
पलंग ज़ावीए उसके कमर के देखते हैं
Bas ek nigah se lutta hai kafila dil ka
So rah rawan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain
बस एक निगाह से लुटता है काफिला दिलका
सो रह रवाँ-ए-तमन्ना भी डर के देखते है
Ruke to gardishe’n uska tawaf karti hain
Chale to usko zamane thaher ke dekhte hain
रुके तो गर्दिशे’न उसका तवाफ़ करती हैं
चले तो उसको ज़माने ठहेर के देखते हैं
Ab uske shaher me thahre ki kooch kar jaye
Faraz aao sitaare safar ke dekhte hain
अब उसके शहेर मे ठहरे की कूच कर जाए
फ़राज़ आओ सितारे सफ़र के देखते हैं
********************************
Andheri raat me rahte to kitna achcha tha
Ham apni zaat me rahte to kitna achcha tha
अंधेरी रात मे रहते तो कितना अच्छा था
हम अपनी ज़ात मे रहते तो कितना अच्छा था
Dukho ne baat liya tumhare baad hame
Tumhare haath me rahte to kitna achcha tha
दुखों ने बाँट लिया तुम्हारे बाद हमे
तुम्हारे हाथ मे रहते तो कितना अच्छा था
********************************
This is by Ahmad Faraz and we convert this into the Hindi version and made a collection of 2 line romantic shayari in Hindi.
Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More
Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More
Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More
Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More
Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More
Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More
This website uses cookies.
Read More
View Comments