here is the collection of Gam Bhari Shayari in Hindi. Faraz Ahmad was the famous shayar of Urdu Adab and he is the shayar who wrote a lot about Gam Bhari Shayari. We got some good sher and made a collection of Gam Bhari Shayari in hindi. Gam bhari shayari in hindi is a topic on which mostly shayar wrote but Faraz Ahmad wrote a lot and very heart touching shayari. Many shayar like Galib, Meer, Hali etc made shayari on Gam and says a lot and 6thpossibility always tried to convert thier sher in Hindi font so you can easily understand. In this order, Rekhtashayari made this collection of Gam bhari Shayari in Hindi. So enjoy this collection of Gam bhari shayari in hindi.
GAM BHARI SHAYARI IN HINDI
ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon mein milen
jis tarah sukhe hue phool kitabon mein milen
अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख्वाबों में मिलें
जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिलें
gham-e-duniya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo
nashsha badhta hai sharaben jo sharabon mein milen
गम-ए-दुनिया भी गम-ए-यार में शामिल कर लो
नशा बढ़ता है शराबे जो शरबों में मिलें
tu KHuda hai na mera ishq farishton jaisa
donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen
तू खुदा है ना मेरा इश्क़ फरिश्तों जैसा
दोनों इंसान हैं तो क्यूँ इतने हिजाबों में मिलें
ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai
hum ne us ke shahr ko chhoDa aur aankhon ko mund liya hai
अब क्या सोचें क्या हालात थे किस कारण ये ज़हर पिया है
हम ने उस के शहर को छोड़ा और आँखों को मूंद लिया है
ek ‘faraaz’ tumhin tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho
warna aksar dil walon ne dard ka rasta chod diya hai
एक ‘फ़राज़’ तुम्हीं तन्हा हो जो अब तक दुख के रसिया हो
वरना अक्सर दिल वालों ने दर्द का रास्ता छोड दिया है
aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke baad aae jo azab aae
आए कुच्छ अब्र कुच्छ शराब आए
इस के बाद आए जो अज़ाब आए
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
कर रहा था ग़मे-ए-जहाँ का हिसाब
आज तुम याद बे-हिसाब आए
na gai tere gham ki sardari
dil mein yun roz inqalab aae
ना गई तेरे गम की सरदारी
दिल में यूँ रोज़ इंक़लाब आए
Ahmad faraz Shayari 2 lines
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chandni dil dukhati rahi raat bhar
आप की याद आती रही रात भर
चाँदनी दिल दुखाती रही रात भर
ek ummid se dil bahalta raha
ek tamanna satati rahi raat bhar
एक उम्मीद से दिल बहलता रहा
एक तमन्ना सताती रही रात भर
aa gai yaad sham Dhalte hi
bujh gaya dil charagh jalte hi
आ गई याद शाम ढलते ही
बुझ गया दिल चराग़ जलते ही
tu bhi jaise badal sa jata hai
aks-e-diwar ke badalte hi
तू भी जैसे बदल सा जाता है
अक्स-ए-दीवार के बदलते ही
khul gae shahr-e-gham ke darwaze
ek zara si hawa ke chalte hi
खुल गए शहर-ए-गम के दरवाज़े
एक ज़रा सी हवा के चलते ही
Below mention sher is update in April 2020
Yun to pahle bhi hue us se kai bar juda
Lekin ab ke nazar aate hain kuch aasar juda
यूँ तो पहले भी हुए उस से कई बार जुदा
लेकिन अब के नज़र आते हैं कुछ असर जुदा
So this is the collection of Gam Bhari Shayari In Hindi written by Ahmad Faraz and taken from Rekhta.org. We hope you enjoyed this collection of Gam Bhari Shayari in Hindi by Faraz Ahmad. If you have any kind of suggestions please write to us in the comment box.
Emotional Shayari in Hindi on life – Munawwar Rana Updated(2018)