Shayari

Daag Dehlvi Shayari in Hindi-An Extraordinary Poetry of 18th Century.

Daag Dehlvi is one of the best Urdu poets in the world. Daag Dehlvi Shayari in Hindi was written in Urdu and later on, it was translated in Hindi.

Nowadays Daag Dehlvi Shayari in Hindi and Daag Dehlvi Shayari in Urdu is also very famous. Before Start my post on Daag Dehlvi Shayari in Hindi, I would like to introduce Daag Dehlvi first and he is one of the best Urdu poets.

Daagh Dehlvi conceived Nawab Mirza Khan (25 May 1831 – 17 March 1905) was an artist known for his Urdu ghazals. He had a place with the old Delhi school of Urdu verse. Daagh composed sentimental and exotic sonnets and ghazals in basic and pure Urdu, limiting utilization of Persian words.

Dehlvi laid extraordinary accentuation on the Urdu colloquialism and its utilization. He composed under the takhallus Daagh Dehlvi He had a place with the Delhi school of thought.

His honorific Dabeer ud Dawla, Faseeh ul Mulk, Nawab Nizaam Jang Bahadur, Sipah Salar, Yare-Wafadar, Muqrib-us-Sultan, Bulbul-e-Hindustan, Jahan Ustad, Nazim Yar Jung, were the titles presented to him by the 6th Nizam of Hyderabad. Daagh was viewed as outstanding amongst other sentimental writers of his opportunity by a few analysts.

Here is one famous Ghazal of Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

Tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha
Na tha raqib to aaKHir wo nam kis ka tha

Wo qatl kar ke mujhe har kisi se puchte hai
Ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha

Wafa karenge nibahenge baat manenge
Unhe bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha

Raha na dil mein wo bedard aur dard raha
Muqim kaun hua hai maqam kis ka tha

Na puch-gach thi kisi ki wahan na aaw-bhagat
Tumhaari bazm mein kal ehtimam kis ka tha

Tamam bazm jise sun ke rah gai mushtaq
Kaho wo tazkira-e-na-tamam kis ka tha

Hamare Khat ke to purze kiye padha bhi nahin
Suna jo tu ne ba-dil wo payam kis ka tha

Uthai kyun na qayamat adu ke kuche me
Lihaz aap ko waqt-e-Khiram kis ka tha

Guzar gaya wo zamana kahu to kis se kahu
Khayal dil ko mere subh o sham kis ka tha

Hame to hazrat-e-waiz ki zid ne pilwai
Yahan irada-e-sharb-e-mudam kis ka tha

Agarche dekhne wale tere hazaro the
Tabah-haal bahut zer-e-baam kis ka tha

Wo kaun tha ki tumhein jis ne bewafa jaana
Khayal-e-KHam ye sauda-e-KHam kis ka tha

Inhin sifat se hota hai aadmi mashur
Jo lutf aam wo karte ye nam kis ka tha

Har ek se kahte hain kya ‘dagh’ bewafa nikla
Ye puche un se koi wo ghulam kis ka tha

तुम्हारे ख़त में नया इक सलाम किस का था
न था रक़ीब तो आख़िर वो नाम किस का था

वो क़त्ल कर के मुझे हर किसी से पूछते हैं
ये काम किस ने किया है ये काम किस का था

वफ़ा करेंगे निबाहेंगे बात मानेंगे
तुम्हें भी याद है कुछ ये कलाम किस का था

रहा न दिल में वो बेदर्द और दर्द रहा
मुक़ीम कौन हुआ है मक़ाम किस का था

न पूछ-गछ थी किसी की वहाँ न आव-भगत
तुम्हारी बज़्म में कल एहतिमाम किस का था

तमाम बज़्म जिसे सुन के रह गई मुश्ताक़
कहो वो तज़्किरा-ए-ना-तमाम किस का था

हमारे ख़त के तो पुर्ज़े किए पढ़ा भी नहीं
सुना जो तू ने ब-दिल वो पयाम किस का था

उठाई क्यूँ न क़यामत अदू के कूचे में
लिहाज़ आप को वक़्त-ए-ख़िराम किस का था

गुज़र गया वो ज़माना कहूँ तो किस से कहूँ
ख़याल दिल को मिरे सुब्ह ओ शाम किस का था

हमें तो हज़रत-ए-वाइज़ की ज़िद ने पिलवाई
यहाँ इरादा-ए-शर्ब-ए-मुदाम किस का था

अगरचे देखने वाले तिरे हज़ारों थे
तबाह-हाल बहुत ज़ेर-ए-बाम किस का था

Here is one another famous Ghazal of Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

Aarzu hai wafa kare koi
Ji na chahe to kya kare koi

Gar maraz ho dawa kare koi
Marne wale ka kya kare koi

Koste hain jale hue kya kya
Apne haq mein dua kare koi

Un se sab apni apni kahte hain
Mera matlab ada kare koi

Chah se aap ko to nafrat hai
Mujh ko chahe Khuda kare koi

Us gile ko gila nahi kahte
Gar maze ka gila kare koi

Ye mili dad ranj-e-furqat ki
Aur dil ka kaha kare koi

Tum sarapa ho surat-e-taswir
Tum se phir baat kya kare koi

Kahte hain hum nahi KHuda-e-karim
Kyun hamari Khata kare koi

Jis mein lakhon baras ki huren hon
Aisi jannat ko kya kare koi

Is jafa par tumhe tamanna hai
Ki meri iltija kare koi

Muh lagate hi ‘dagh’ itraya
Lutf hai phir jafa kare koi

आरज़ू है वफ़ा करे कोई
जी न चाहे तो क्या करे कोई

गर मरज़ हो दवा करे कोई
मरने वाले का क्या करे कोई

कोसते हैं जले हुए क्या क्या
अपने हक़ में दुआ करे कोई

उन से सब अपनी अपनी कहते हैं
मेरा मतलब अदा करे कोई

चाह से आप को तो नफ़रत है
मुझ को चाहे ख़ुदा करे कोई

उस गिले को गिला नहीं कहते
गर मज़े का गिला करे कोई

ये मिली दाद रंज-ए-फ़ुर्क़त की
और दिल का कहा करे कोई

तुम सरापा हो सूरत-ए-तस्वीर
तुम से फिर बात क्या करे कोई

कहते हैं हम नहीं ख़ुदा-ए-करीम
क्यूँ हमारी ख़ता करे कोई

जिस में लाखों बरस की हूरें हों
ऐसी जन्नत को क्या करे कोई

इस जफ़ा पर तुम्हें तमन्ना है
कि मिरी इल्तिजा करे कोई

मुँह लगाते ही ‘दाग़’ इतराया
लुत्फ़ है फिर जफ़ा करे कोई

Blow I like to present some of the best, Heart touching, Fabulous Poetry that you always remember.

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

wafa karenge nibahenge baat manenge
Tumhe bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha

वफ़ा करेंगे निभाएँगे बात मानेंगे
तुम्हे भी याद है कुछ ये कलाम किस का था

Milate ho usi ko ḳhaak me jo dil se milta hai
Meri jaan chahne wala badi mushkil se milta hai

मिलाते हो उसी को खाक़ मे जो दिल से मिलता है
मेरी जान चाहने वाला बड़ी मुश्किल से मिलता है

Hame hai shauq ki be-parda tum ko dekhenge
Tumhe hai sharm to aankho pe haath dhar lena

हमे है शौक़ की बे-परदा तुम को देखेंगे
तुम्हे है शर्म तो आँखो पे हाथ धर लेना

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

Tumhara dil mere dil ke barabar ho nahi sakta
Wo shisha ho nahi sakta ye patthar ho nahi sakta

तुम्हारा दिल मिरे दिल के बराबर हो नहीं सकता
वो शीशा हो नहीं सकता ये पत्थर हो नहीं सकता

Dil de to is mizaj ka parvardigaar de
Jo ranj ki ghadi bhi khushi se guzar de

दिल दे तो इस मिज़ाज का परवरदिगार दे
जो रंज की घड़ी भी ख़ुशी से गुज़ार दे

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

Hazaro kaam mohabbat me hai maze ke ‘Dagh’
Jo log kuch nahi karte kamal karte hai

हज़ारों काम मोहब्बत में हैं मज़े के ‘दाग़’
जो लोग कुछ नहीं करते कमाल करते हैं

Is nahi ka koi ilaaj nahi
Roz kahte hai aap aaj nahi

इस नहीं का कोई इलाज नहीं
रोज़ कहते हैं आप आज नहीं

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

Khabar sun kar mire marne ki wo bole raqibo se
Khuda bakhshe bahut si khubiya thi marne wale me

ख़बर सुन कर मिरे मरने की वो बोले रक़ीबों से
ख़ुदा बख़्शे बहुत सी ख़ूबियाँ थीं मरने वाले में

Ashiqi se milega ae zahid
Bandagi se khuda nahi milta

आशिक़ी से मिलेगा ऐ ज़ाहिद
बंदगी से ख़ुदा नहीं मिलता

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

Ghazab kiya tire vaade pe ehtebaar kiya
Tamam raat qayamat ka intizaar kiya

ग़ज़ब किया तिरे वIदे पे एतिबार किया
तमाम रात क़यामत का इंतिज़ार किया

Aap ka ehtibar kaun kare
Roz ka intizar kaun kare

आप का एतिबार कौन करे
रोज़ का इंतिज़ार कौन करे

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

Sab log jidhar wo hai udhar dekh rahe hai
Ham dekhne walo ki nazar dekh rahe hai

सब लोग जिधर वो हैं उधर देख रहे हैं
हम देखने वालों की नज़र देख रहे हैं

Khub parda hai ki chilman se lage baithe hai
Saaf chhupte bhi nahi samne aate bhi nahi

ख़ूब पर्दा है कि चिलमन से लगे बैठे हैं
साफ़ छुपते भी नहीं सामने आते भी नहीं

Daag Dehlvi Shayari in Hindi

Daag Dehlvi Shayari in Urdu

Lipat jaate hai vo bijli ke Dar se
Ilahi ye ghata do din to barse

लिपट जाते हैं वो बिजली के डर से
इलाही ये घटा दो दिन तो बरसे

Lutf-e-mai tujh se kya kahu zahid
Hae kam-bakht tu ne pi hi nahi

लुत्फ़-ए-मय तुझ से क्या कहूँ ज़ाहिद
हाए कम-बख़्त तू ने पी ही नहीं

So it is our latest collection Daag Dehlvi Shayari in Hindi and we will update from time to time. If you liked then please tell us that how was your opinion about this collection Daag Dehlvi Shayari in Hindi. Please write to us in the comment box.

 

shayari in hindi about life – Rahat indori shayari in hindi

 

Faiz Ahmed Faiz Poetry- Poetry that will make you Think.

2 line romantic Shayari in Hindi – 2 लाइन रोमैंटिक शायरी इन हिन्दी

Akif Rehman

Published by
Akif Rehman

Recent Posts

Nasha Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More

3 years ago

Barish Shayari In Hindi| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More

3 years ago

Tadap Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More

3 years ago

Personality Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More

3 years ago

Pyar Ki Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More

3 years ago

Rajneeti Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm

Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More

3 years ago

This website uses cookies.

Read More