Here is a collection of best two line Shayari ever. Shayari in this collection is mostly said by Bashir Badr. He was a very famous poet of Urdu Adab. He won so many awards and also won the Padma Shri award in 1999. This is the best two line Shayari ever. You can use this best two line Shayari ever for your Facebook or twitter post. You can also this collection with someone who is special to you. So read this collection of Urdu Shayari in Hindi because most of the people were not able to read the Urdu language.
Nowadays most of people two line Shayari or short Shayari which have so many words. Bashir Badr was a Shayar who are able to say more words in the shorter one. So let’s read this collection of best two line Shayari ever and enjoy.
best two line Shayari ever
dil men ek tasvir chupi thi aan basi hai ankhon me
shayad ham ne aaj ġhazal si baat likhi hai ankhon me
jaise ek harijan ladki mandir ke darvaze par
shaam diyo ki thaal sajae jhank rahi hai ankhon me
is rumal ko kaam me laao apni palken saaf karo
maila maila chand nahin hai dhul jami hai ankhon me
padhta ja ye manzar-nama zard azeem pahadon ka
dhuup khili palkon ke upar barf jami hai ankhon me
maine ek novel likkha hai aane vaali subh ke naam
kitni raton ka jaaga huun neend bhari hai ankhon me
Two Line Shayari
dua karo ki ye pauda sada hara hi lage
udasiyo me bhi chehra khila khila hi lage
wo sadgi na kare kuchh bhi to ada hi lage
vo bhola-pan hai ki bebaki bhi haya hi lage
ye zafrani pullover usi ka hissa hai
koi jo dusra pahne to dusra hi lage
nahi hai mere muqaddar me raushni na sahi
ye khidki kholo zara subh ki hawa hi lage
ajiib shakhs hai naraz ho ke hansta hai
mai chahta hun khafa ho to wo khafa hi lage
hasi to aur hai lekin koi kaha tujh sa
jo dil jalae bahut phir bhi dilruba hi lage
hazaro bhes me phirte hai raam aur rahim
koi zaruri nahi hai bhala bhala hi lage
Bashir Badr 2 line Shayari
falak se chand sitaro se jaam lena hai
mujhe sahar se nai ek shaam lena hai
kise khabar ki farishte ghazal samajhte hai
khuda ke samne kafir ka naam lena hai
muamla hai tera badtareen dushman se
mere azeez mohabbat se kaam lena hai
mahakti zulfo se khushbu chamakti aankh se dhup
shabo se jam-e-sahar ka salam lena hai
tumhari chaal ki ahistagi ke lahje me
sukhan se dil ko masalne ka kaam lena hai
nahi mai ‘mir’ ke dar par kabhi nahi jaata
mujhe khuda se ghazal ka kalam lena hai
bade saliqe se noton me us ko tulwa kar
ameer-e-shahr se ab intiqam lena hai
2 line Shayari
ghazlon ka hunar apni ankhon ko sikhaenge
roenge bahut lekin aansu nahin aenge
kah dena samundar se ham os ke moti hain
dariya ki tarah tujh se milne nahin aenge
wo dhup ke chhappar hon ya chhanw ki diwaren
ab jo bhi uThaenge mil jul ke uThaenge
jab saath na de koi awaz hamen dena
ham phul sahi lekin patthar bhi uThaenge
ghar se nikle agar ham bahak jaenge
wo gulabi katore chhalak jaenge
ham ne alfaz ko aaina kar diya
chhapne waale ghazal men chamak jaenge
dushmani ka safar ek qadam do qadam
tum bhi thak jaoge ham bhi thak jaenge
rafta rafta har ek zakhm bhar jaega
sab nishanat phulon se dhak jaenge
naam paani pe likhne se kya faeda
likhte likhte tere haath thak jaenge
ye parinde bhi kheton ke mazdur hain
laut ke apne ghar shaam tak jaenge
din me pariyon ki koi kahani nasun
jangalon men musafir bhaTak jaenge
2 line Hindi Shayari
hansi maasum si bachcho ki copy men ibaarat si
hiran ki peeth par baithe parinde ki shararat si
wo jaise sardiyon men garm kapde de faqiron ko
labon pe muskurahat thi magar kaisi haqarat si
udasi pat-jhado ki shaam odhe rasta takti
pahadi par hazaron saal ki koi imarat si
sajae bazuon par baazu wo maidan men tanha tha
chamakti thi ye basti dhup men taraj o gharat si
meri aankhon mere honton pe ye kaisi tamazat hai
kabutar ke paron ki reshmi ujli hararat si
khila de phul mere baagh men paighambaro jaisa
raqam ho jis ki peshani pe ek aayat basharat si
hai ajeeb shaher ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahr kahin bad-mizaj si shaam hai
yuhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhav ki guftugu
ye sharafaten nahi be-gharaz ise aap se koi kaam hai
kahan ab duao ki barkate wo nasihate wo hidayate
ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai
wo dilon men aag lagaega main dilo ki aag bujhaunga
use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
na udaas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar
kai saal baad mile hain ham tere naam aaj ki shaam hai
koi naghma dhup ke gaao sa koi naghma shaam ki chhanw sa
zara in parindon se puchna ye kalam kis ka kalam hai
Shayari of Bashir Badr 2 line
hamara dil sawere ka sunahra jaam ho jaae
charaghon ki tarah ankhen jale jab shaam ho jae
kabhi to asman se chand utre jaam ho jaae
tumhare naam ki ek ḳhub-surat shaam ho jae
ajab halat the yun dil ka sauda ho gaya akhir
mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jaae
samundar ke safar men is tarah awaz de ham ko
hawaen tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaae
mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga
parinda asman chhune men jab nakam ho jae
ujale apni yadon ke hamare saath rahne do
na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jae
Best Two Line Shayari Ever
hamare paas to aao bada andhera hai
kahi na chor ke jaao bada andhera hai
udaas kar gae be-sakhta latife bhi
ab ansuon se rulao bada andhera hai
koi sitara nahi pattharon ki palkon par
koi charagh jalao bada andhera hai
haqiqaton men zamana bahut guzar chuke
koi kahani sunao bada andhera hai
kitaben kaisi uTha laye mai-kade waale
ghazal ke jaam uthao bada andhera hai
ghazal men jis ki hamesha charagh jalte hain
use kahin se bulao baDa andhera hai
wo chandni ki basharat hai harf-e-akhir tak
‘bashir-badr’ ko laao bada andhera hai
Below written sher is updated in the year 2020
best two line Shayari ever
Mujhe lagta hai dil khinch kar chala aata hai hatho par
Tujhe likkhu to meri ungliya aesi dhadakti hai
So this is all about the best two line Shayari ever. We hope you enjoyed this Shayari collection. If you have any queries or suggestions please feel free to write to us in the comment box below.
2 line shayari in hindi – latest collection of two line shayari in hindi