Javed Akhtar Shayari in Hindi|An Famous poet and lyricist of 20th Century

Javed Akhtar Shayari in Hindi and even entire Javed Akhtar Shayari is very popular in Urdu Poetry. Javed Akhter poetry is Popular because he is associated with Bollywood.

Javed Akhtar born on 17 January 1945, He is an Indian political activist, poet, lyricist, and screenwriter, originally from the Gwalior area. He is a recipient of the Padma ShriPadma Bhushan (2007), the Sahitya Akademi Award as well as five National Film Awards.  He was also a member of Rajya Sabha in the year 2010.

Javed Akhtar Shayari in Hindi

His grandfather Muztar Khairabadi was a poet as was his grandfather’s elder brother, Bismil Khairabadi, while his great great grandfather, Fazl-e-Haq Khairabadi, was a scholar of Islamic studies and theology and played an important role in the First Independence.

Javed Akhtar Shayari in Hindi 1

Without spending any more time I would like to write Sher(Couplet) of Javed Akhtar Shayari in Hindi and Javed Akhtar Shayari. 

In charaghon me tel hi kam tha
kyu gila phir hame hava se rahe

इन चरागों मे तेल ही कम था
क्यू गीला फिर हमे हवा से रहे

Ghalat bato ko Khamoshi se sunna hami bhar lena
Bahut hain faede is me magar acha nahi lagta

घलत बातो को खामोशी से सुनना हामी भर लेना
बहुत हैं फाएदे इस मे मगर अछा नही लगता

Is shahr me jine ke andaz nirale hai
Hoto pe latife hai Aawaz me chhale hai

इस शाहर मे जीने के अंदाज़ निराले है
होटो पे लतीफ़े है आवाज़ मे छाले है

javed akhtar shayari in hindi 2

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Hum to bachpan me bhi akele the
Sirf dil ki gali mein khele the

हम तो बचपन मे भी अकेले थे
सिर्फ़ दिल की गली में खेले थे

Ye duniya tum ko ras aae to kahna
Na sar patthar se takrae to kahna

ये दुनिया तुम को रस आए तो कहना
ना सर पत्थर से टकराए तो कहना

Dhuan jo kuchh gharon se uth raha hai
Na pure shahar par chhae to kahna

धुआँ जो कुच्छ घरों से उठ रहा है
ना पूरे शहर पर छाए तो कहना

javed akhtar shayari in hindi 3

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Tab hum donon waqt chura kar late the
Ab milte hain jab bhi fursat hoti hai

तब हम दोनों वक़्त चुरा कर लाते थे
अब मिलते हैं जब भी फ़ुर्सत होती है

Agar palak pe hai moti to ye nahin kafi
Hunar bhi chahiye alfaz mein pirone ka

अगर पालक पे है मोटी तो ये नहीं काफ़ी
हुनर भी चाहिए अल्फ़ाज़ में पिरोने का

Aql ye kahti duniya milti hai bazar mein
Dil magar ye kahta hai kuchh aur behtar dekhiye

अक़्ल ये कहती दुनिया मिलती है बाज़ार में
दिल मगर ये कहता है कुच्छ और बेहतर देखिए

javed akhtar shayari in hindi 4

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Unchi Imarato se makn mer ghir gaya
Kuch log mere hisse ka suraj bhi kha gae

ऊँची इमारतों से मकाँ मेरा घिर गया
कुछ लोग मेरे हिस्से का सूरज भी खा गए

Yaad use bhi ek adhara afsana to hoga
Kal raste me us ne ham ko pahchana to hoga

याद उसे भी एक अधूरा अफ़्साना तो होगा
कल रस्ते में उस ने हम को पहचाना तो होगा

javed akhtar shayari in hindi 6

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Agar palak pe hai moti to ye nahi kaafi
Hunar bhi chahiye alfaz me pirone ka

अगर पलक पे है मोती तो ये नहीं काफ़ी
हुनर भी चाहिए अल्फ़ाज़ में पिरोने का

Isi jagah isi din to hua tha ye elaan
andhere haar gae zindabaad hindostan

इसी जगह इसी दिन तो हुआ था ये एलान
अँधेरे हार गए ज़िंदाबाद हिन्दोस्तान

javed akhtar shayari in hindi 7

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Tum ye kahte ho ki mai ghair hu phir bhi shayad
Nikal aae koi pahchan zara dekh to lo

तुम ये कहते हो कि मैं ग़ैर हूँ फिर भी शायद
निकल आए कोई पहचान ज़रा देख तो लो

Yahi halat ibtida se rahe
log ham se khafa khafa se rahe

यही हालात इब्तिदा से रहे
लोग हम से ख़फ़ा ख़फ़ा से रहे

javed akhtar shayari in hindi 8

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Sab ka khushi se fasla ek qadam hai
Har ghar me bas ek hi kamra kam hai

सब का ख़ुशी से फ़ासला एक क़दम है
हर घर में बस एक ही कमरा कम है

Us ki aankho me bhi kajal phail raha hai
Mai bhi mud ke jaate jaate dekh rah hu

उस की आँखों में भी काजल फैल रहा है
मैं भी मुड़ के जाते जाते देख रहा हूँ

javed akhtar shayari in hindi 9

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Javed Akhtar is an eager reader with a strong interest in politics. His poetry indicates both his political perception and literary solicitudes. Javed Akhtar Shayari in hindi is popular in youth because of the film such as Dil Chahta HaiLakshyaRock On!! and Zindagi Na Milegi Dobara. So here are a few Popular ghazals of Javed Akhtar Shayari.

Yaad use bhi ek adhura afsana to hoga
Kal raste me us ne hum ko pahchana to hoga

Dar hum ko bhi lagta hai raste ke sannate se
Lekin ek safar par ai dil ab jaana to hoga

Kuch baaton ke matlab hai aur kuch matlab ki baate
Jo ye farq samajh lega wo diwana to hoga

Dil ki baate nahi hai to dilchasp hi kuch baaten ho
Zinda rahna hai to dil ko bahlana to hoga

Jit ke bhi wo sharminda hai haar ke bhi hum naza
Kam se kam wo dil hi dil me ye mana to hoga

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

याद उसे भी एक अधूरा अफ़साना तो होगा
कल रास्ते मे उस ने हम को पहचाना तो होगा

डर हम को भी लगता है रास्ते के सन्नाटे से
लेकिन एक सफ़र पर ऐ दिल अब जाना तो होगा

कुछ बातों के मतलब है और कुछ मतलब की बाते
जो ये फ़र्क़ समझ लेगा वो दीवाना तो होगा

दिल की बाते नही है तो दिलचस्प ही कुछ बातें हो
ज़िंदा रहना है तो दिल को बहलना तो होगा

जीत के भी वो शर्मिंदा है हार के भी हम नाज़ाँ
कम से कम वो दिल ही दिल मे ये माना तो होगा

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Hamare shauq ki ye intiha thi
Qadam rakha ki manzil rasta thi

Bichhad ke Dar se ban ban phira wo
Hiran ko apni kasturi saza thi

Kabhi jo Khwab tha wo pa liya hai
Magar jo kho gai wo chiz kya thi

Mai bachpan mein khilaune todta tha
Mere anjam ki wo ibtida thi

Mohabbat mar gai mujh ko bhi gham hai
Mere achchhe dino ki aashna thi

Jise chhu lun main wo ho jae sona
Tujhe dekha to jaana bad-dua thi

Mariz-e-Khwab ko to ab shifa hai
Magar duniya baDi kaDwi dawa thi

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

हमारे शौक़ की ये इंतिहा थी
क़दम रखा की मंज़िल रास्ता थी

बिछड़ के दर से बन बन फिरा वो
हिरन को अपनी कस्तूरी सज़ा थी

कभी जो ख्वाब था वो पा लिया है
मगर जो खो गई वो चीज़ क्या थी

मैं बचपन में खिलौने तोड़ता था
मेरे अंजाम की वो इब्तिदा थी

मोहब्बत मार गई मुझ को भी घम है
मेरे अच्छे दीनो की आशना थी

जिसे छू लूँ मैं वो हो जाए सोना
तुझे देखा तो जाना बद-दुआ थी

मरीज़-ए-ख्वाब को तो अब शिफा है
मगर दुनिया बड़ी कड़वी दवा थी

Javed Akhtar is also a respected social commentator and activist. He has written a large number of poems against communalism, social injustice, National Integration and for Women’s Rights. When he was a member of Rajya Sabha, He was the leading force behind the recently passed Copyright Amendment bill that restores dignity to lyrics and music composers and gives them what is rightfully theirs in terms of royalty. So here is a political Nazm “Naya Hukm-Nama” of Javed Akhtar Shayari in Hindi.

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

Kisi ka hukm hai sari hawae
Hamesha chalne se pahle batae
Ki un ki samt kya hai
Kidhar ja rahi hain
Hawaon ko batana ye bhi hoga
Chalengi ab to kya raftar hogi
Hawaon ko ye ijazat nahin hai
Ki aandhi ki ijazat ab nahin hai

Hamari ret ki sab ye fasilen
Ye kaghaz ke mahal jo ban rahe hai
Hifazat un ki karna hai zaruri
Aur aandhi hai purani in ki dushman
Ye sabhi jante hain

Kisi ka hukm hai dariya ki lahren
Zara ye sar-kashi kam kar len apni had mein Thahre
Ubharna phir bikharna aur bikhar kar phir ubharna
Ghalat hai ye un ka hangama karna
Ye sab hai sirf wahshat ki alamat
Bagawat ki alamat
Bagawat to nahi bardasht hogi
Ye wahshat to nahin bardasht hogi
Agar lahron ko hai dariya me rahna
To un ko hoga ab chup-chap bahna

Kisi ka hukm hai
Is gulistan me bas ek rang ke hi phul honge
kuch afsar honge jo ye tai karenge
Gulistan kis tarah banna hai kal ka
Yaqinan phul to yak-rangin honge
Magar ye rang hoga kitna gahra kitna halka
Ye afsar tai karenge

Kisi ko ye koi kaise batae
Gulistan me kahin bhi phul yak-rangi nahin hote
Kabhi ho hi nahin sakte
Ki har ek rang me chhup kar bahut se rang rahte hain
Jinhonne bagh-e-yakrangi banana chahe the
Un ko zara dekho
Ki jab ek rang me sau rang zahir ho gae hain to
kitne pareshan hai kitne tang rahte hain

Kisi ko ye koi kaise batae
Hawaen aur lahren kab kisi ka hukm sunti hain
Hawaen hakimon ki mutthiyon mein hathkdi me
Qaid-Khanon mein nahin rukti
Ye lahren roki jati hain
To dariya kitna bhi ho pur-sukun betab hota hai
Aur is betabi ka agla qadam sailab hota hai

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

किसी का हुक्म है सारी हवाएँ
हमेशा चलने से पहले बताएँ
कि उन की सम्त क्या है
किधर जा रही हैं
हवाओं को बताना ये भी होगा
चलेंगी अब तो क्या रफ़्तार होगी
हवाओं को ये इजाज़त नहीं है
कि आँधी की इजाज़त अब नहीं है

हमारी रेत की सब ये फ़सीलें
ये काग़ज़ के महल जो बन रहे हैं
हिफ़ाज़त उन की करना है ज़रूरी
और आँधी है पुरानी इन की दुश्मन
ये सभी जनते हैं

किसी का हुक्म है दरिया की लहरें
ज़रा ये सर-कशी कम कर लें अपनी हद में ठहरें
उभरना फिर बिखरना और बिखर कर फिर उभरना
ग़लत है ये उन का हंगामा करना
ये सब है सिर्फ़ वहशत की अलामत
बग़ावत की अलामत
बग़ावत तो नहीं बर्दाश्त होगी
ये वहशत तो नहीं बर्दाश्त होगी
अगर लहरों को है दरिया में रहना
तो उन को होगा अब चुप-चाप बहना

किसी का हुक्म है
इस गुलिस्ताँ में बस इक रंग के ही फूल होंगे
कुछ अफ़सर होंगे जो ये तय करेंगे
गुलिस्ताँ किस तरह बनना है कल का
यक़ीनन फूल तो यक-रंगीं होंगे
मगर ये रंग होगा कितना गहरा कितना हल्का
ये अफ़सर तय करेंगे

किसी को ये कोई कैसे बताए
गुलिस्ताँ में कहीं भी फूल यक-रंगीं नहीं होते
कभी हो ही नहीं सकते
कि हर इक रंग में छुप कर बहुत से रंग रहते हैं
जिन्होंने बाग़-ए-यक-रंगीं बनाना चाहे थे
उन को ज़रा देखो
कि जब इक रंग में सौ रंग ज़ाहिर हो गए हैं तो
कितने परेशाँ हैं कितने तंग रहते हैं

किसी को ये कोई कैसे बताए
हवाएँ और लहरें कब किसी का हुक्म सुनती हैं
हवाएँ हाकिमों की मुट्ठियों में हथकड़ी में
क़ैद-ख़ानों में नहीं रुकतीं
ये लहरें रोकी जाती हैं
तो दरिया कितना भी हो पुर-सुकूँ बेताब होता है
और इस बेताबी का अगला क़दम सैलाब होता है

Here is a another Nazm “Dushwaari” of Javed Akhtar Shayari in Hindi.

Main bhul jaun tumhe
Ab yahi munasib hai
Magar bhulana bhi chahu to kis tarah bhulu
Ki tum to phir bhi haqiqat wo
Koi Khwab nahi
Yahan to dil ka ye aalam hai kya kahu
Kam-bakht
Bhula na paya wo silsila
Jo tha hi nahi
Wo ek Khayal
Jo aawaz tak gaya hi nahi
Wo ek baat
Jo mai kah nahi saka tum se
Wo ek rabt
Jo hum me kabhi raha hi nahi
Mujhe hai yaad wo sab
Jo kabhi hua hi nahi

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

मैं भूल जाऊँ तुम्हें
अब यही मुनासिब है
मगर भुलाना भी चाहूँ तो किस तरह भूलूँ
कि तुम तो फिर भी हक़ीक़त वो
कोई ख़्वाब नहीं
यहाँ तो दिल का ये आलम है क्या कहूँ
कम-बख़्त!
भुला न पाया वो सिलसिला
जो था ही नहीं
वो इक ख़याल
जो आवाज़ तक गया ही नहीं
वो एक बात
जो मैं कह नहीं सका तुम से
वो एक रब्त
जो हम में कभी रहा ही नहीं
मुझे है याद वो सब
जो कभी हुआ ही नहीं

Here I attached interview of Javed Akhtar on Doordarshan

Javed Akhtar Shayari in Hindi

Javed Akhtar Shayari

So it is our latest collection Javed Akhtar Shayari in Hindi and Javed Akhtar Shayari and we will update from time to time. If you liked then please tell us that how was your opinion about this collection Javed Akhtar Shayari in Hindi. Please write to us in the comment box

Kaifi Azmi Shayari|Kaifi Azmi Poems| An Amazing Poetry of 19th Century

Mir Taqi Mir selected poetry in Urdu-A Poetry of the 18th century.

Best Two Line Shayari Ever – “2 Line shayari” in Hindi (2018)

Leave a Comment

Open

Close