Rakse bismil ke bahut shaukeen ho mana magar
Apne diwaane ko bhi aise hi tadpaoge kya
रकसे बिस्मिल के बहुत शौकीन हो माना मगर
अपने दीवाने को भी ऐसे ही तड़पावगे क्या
Ye ada, ye naaz , ye gamza ye iswa kis liye
Pahle hi shola ho khud ko aur bhadkaoge kya
ये अदा, ये नाज़ , ये गमज़ा ये इस्वा किस लिए
पहले ही शोला हो खुद को और भड़कावगे क्या
********************************
Ye jo chehre se tumhe lagte hain bimaar se ham
Khoob roye hai lipat kar daro diwaar se ham
ये जो चेहरे से तुम्हे लगते हैं बीमार से हम
खूब रोए हैं लिपट कर दरो दीवार से हम
Yaar ki chashme tagaful ne hame qatl kiya
Kaun kahte hai kate yaar ki talwaar se ham
यार की चश्मे तगाफूल ने हमे क़त्ल किया
कौन कहता है कटे यार की तलवार से हम
Ishq me humk adooli bhi hame ati hai
Talne walo me nahi hai tere inkaar se ham
इश्क़ मे हुक्म अदूलि भी हमे आती है
टलने वालो मे नही है तेरे इनकार से हम
********************************
Chalne ka hausla nai rukna muhaal kar diya
Ishq ke is safar ne to mujhko nidhaal kar diya
चलने का हौसला नई रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझको निढाल कर दिया
Milte hue dilo ke beech aur tha faisla koi
Usne magar bichadte waqt aur sawaal kar diya
मिलते हुए दिलो के बीच और था फ़ैसला कोई
उसने मगर बिछड़ते वक़्त और सवाल कर दिया
********************************
Aankho se mere isliye lali nahi jaati
Yaado se koi raat jo khali nahi jaati
आँखो से मेरे इसलिए लाली नही जाती
यादों से कोई रात जो खाली नही जाती
Mange tu agar jaan bhi to has kar tujhe de de’n
Teri to koi baat bhi tali nahi jaati
माँगे तू अगर जान भी तो हंस कर तुझे दे दे’न
तेरी तो कोई बात भी टली नही जाती
Aaye koi aakar ye tera dard sambhale
Ham se to ye jageer sambhali nahi jati
आए कोई आकर ये तेरा दर्द संभाले
हम से तो ये जागीर संभाली नही जाती
Maloom hame bhai hain bahut se tere qisse
Par baat teri hamse uchhali nahi jaati
मालूम हमे भी हैं बहुत से तेरे क़िस्से
पर बात तेरी हमसे उच्छाली नही जाती
Ham jaan se jayenge tabhi baat banegi
Tumse to koi raah nikaali nahi jaati
हम जान से जाएँगे तभी बात बनेगी
तुमसे तो कोई राह निकाली नही जाती
This is the Shayari by Wasi Shah a very famous poet of this era.
Bachpan Ki Shayari is based on the beautiful memories and experiences of our childhood or Bachpan. Bachpan is… Read More
Wada Shayari is a whole lot of lovely shayaris. Shayaris or poetries are one of the… Read More
Ehsas Shayari is a bunch of beautiful shayaris on the aspect of realization. Realization is the… Read More
God Shayari In Hindi is compiled together to give you a sigh of relief. God is… Read More
Duniya Shayari is designed to give you a broader perspective of this Duniya or the world… Read More
Children's Day Shayari celebrates Children. As we know, there are several specific days for several occasions so… Read More
This website uses cookies.
Read More
View Comments