Shayari

Jigar Moradabadi Shayari in Hindi – Best of Jigar Moradabadi

Jigar Moradabadi Shayari in Hindi: Jigar Moradabadi was a very famous Shayar and he wrote a lot. We collect some good Gazals from Jigar Moradabadi Shayari in Hindi. Jigar Moradabadi won the Sahitya Akademi Award Award in 1958 for his Shayari collection of “Atish-e-Gul“. He was a very simple Shayar and he wrote Shayari in very simple language. For your better understanding, we convert his Urdu Sher in Hindi and try to make a collection of Jigar Moradabadi Shayari in Hindi, which is in simple language.

Who is Jigar Moradabadi?

Ali Sikandar known as Jigar Moradabadi was born in Banaras in 1890. His father died when Jigar was the child and hence his childhood passed in the struggle. His poetry teacher (ustad) in the early days was Rasa Rampuri. He also received an award Sahitya Akademi in 1958. He moved to Gonda and he died in 1960.

His Sufi Poem Yeh Hai Maikada Was Sung By Many Sufi Singers Like Sabri BrothersAziz MianMunni Begum & Attaullah Khan Esakhelvi . A small residential colony in Gonda city called Jigar Ganj is named after him.[citation needed] It is close to his original residence.[citation needed] An intermediate school in the city is also named after him – the Jigar Memorial Inter College. Mazar-e-Jigar Moradabadi is in Topkhana, Gonda. (From Wikipedia).

 

Jigar Moradabadi Shayari in Hindi

 

Duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad

ab mujhko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad

दुनिया के सितम याद ना अपनी ही वफ़ा याद

अब मुझको नहीं कुच्छ भी मोहब्बत के सिवा याद

 

main shikva ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad

shayad ki mere bhulne wale ne kiya yaad

मैं शिकवा बा-लब था मुझे ये भी ना रहा याद

शायद की मेरे भूलने वाले ने किया याद

 

 

cheda tha jise pahle pahal teri nazar ne

ab tak hai vo ek naġhma-e-be-saz-o-sada yaad

छेड़ा था जिसे पहले पहल तेरी नज़र ने

अब तक है वो एक नगमा-ए-बे-साज़-ओ-सदा याद

 

 

jab koi hasin hota hai sargarm-e-navazish

us vaqt vo kuchh aur bhi aate hain siva yaad

जब कोई हसीन होता है सरगर्म-ए-नवाज़िश

उस वक़्त वो कुच्छ और भी आते हैं सिवा याद

 

 

kya janiye kya ho gaya arbab-e-junun ko

marne ki ada yaad na jiine ki ada yaad

क्या जानिए क्या हो गया अरबाब-ए-जुनून को

मरने की अदा याद ना जीने की अदा याद

 

 

muddat hui ik hadsa-e-ishq ko lekin

ab tak hai tere dil ke dhadakne ki sada yaad

मुद्दत हुई इक हादसा-ए-इश्क़ को लेकिन

अब तक है तेरे दिल के धड़कने की सदा याद

Jigar Moradabadi Shayari in Hindi

 

haan haan  tujhe kya kaam meri shiddat-e-ġham se

haan-haan nahi mujh ko tere daman ki hava yaad

हाँ-हाँ  तुझे क्या काम मेरी शिद्दत-ए-गम से

हाँ-हाँ नही मुझ को तेरे दामन की हवा याद

 

 

mai tark-e-rah-o-rasm-e-junu kar hi chuka tha

kyun aa gai aise me teri laghzish-e-pa yaad

मैं तर्क-ए-राह-ओ-रस्म-ए-जुनू कर ही चुका था

क्यूँ आ गई ऐसे मे तेरी लाग्ज़िश-ए-पा याद

 

 

kya lutf ki main apna pata aap bataun

kijiye koi bhuli hui ḳhaas apni ada yaad

क्या लुत्फ़ की मैं अपना पता आप बताउँ

कीजिए कोई भूली हुई ख़ास अपनी अदा याद

Hindi Shayari Jigar Moradabadi

 

ehsas-e-ashiqui ne begana kar diya hai

yun bhi kisi ne aksar divana kar diya hai

एहसास-ए-आशिक़ी ने बेगाना कर दिया है

यूँ भी किसी ने अक्सर दीवाना कर दिया है

 

 

ab kya ummeed rakhun ae husn-e-yaar tujh se

tu ne to muskura kar diwana kar dia hai

अब क्या उम्मीद रखूं ए हुस्न-ए-यार तुझ से

तू ने तो मुस्कुरा कर दीवाना कर दिया है

 

 

tujh se ḳhuda hi samjhe tu ne kisi ko ay dil

mujh se bhi kuchh ziyada diwana kar diya hai

तुझ से खुदा ही समझे तू ने किसी को ऐ दिल

मुझ से भी कुच्छ ज़्यादा दीवाना कर दिया है

 

phir us ke dekhne ko aankhe taras rahi hain

yaddash ba-ḳhair jis ne diwana kar diya hai

फिर उस को देखने को आँखे तरस रही हैं

याददाश् बा-कहेर जिस ने दीवाना कर दिया है

 

 

mujh ko junun se apne shikwa jo hai to ye hai

meri mohabbaton ko afsana kar diya hai

मुझ को जुनून से अपने शिकवा जो है तो ये है

मेरी मोहब्बातों को अफ़साना कर दिया है

 

 

ae husn-e-roz afzun umrat daraz baad

dono jahan se mujh ko begana kar diya hai

ए हुस्न-ए-रोज़ अफ़ज़ुं उमरत दराज़ बाद

दोनो जहाँ से मुझ को बेगाना कर दिया है

 

jab dil men aa gaya  hai ek jumbish-e-nazar ne

diwana kah diya diwana kar diya hai

जब दिल में आ गया  है एक जुम्बिश-ए-नज़र ने

दीवाना कह दिया दीवाना कर दिया है

 

 

mujh se hi puchte hai ye shoḳhiyan to dekho

mere ‘jigar’ ko kis ne diwana kar diya hai

मुझ से ही पूछते है ये शोखिया तो देखो

मेरे ‘जिगर’ को किस ने दीवाना कर दिया है

Best Jigar Moradabadi Shayari in Hindi

 

ham ko mita sake ye zamane me dam nahin

ham se zamana ḳhud hai zamane se ham nahin

हम को मिटा सके ये ज़माने मे दम नहीं

हम से ज़माना खुद है ज़माने से हम नहीं

 

 

be-faida alam nahin bekar ġham nahin

taufeeq de ḳhuda to ye nemat bhi kam nahin

बे-फ़ायदा आलम नहीं बेकार गम नहीं

तौफ़ीक़ दे खुदा तो ये नेमत भी कम नहीं

 

 

meri zaban pe shikwa-e-ahl-e-sitam nahin

mujh ko jaga diya yahi ehsan kam nahin

मेरी ज़बान पे शिकवा-ए-आहल-ए-सितम नहीं

मुझ को जगा दिया यही एहसान कम नहीं

 

 

ya rab hujum-e-dard ko de aur vusaten

daman to kya abhi meri  ankhen bhi nam nahin

या रब हुजूम-ए-दर्द को दे और उसतें

दामन तो क्या अभी मेरी  आँखें भी नम नहीं

 

 

shikwa to ek ched hai lekin haqiqatan

tera sitam bhi teri inayat se kam nahin

शिकवा तो एक छेड़ है लेकिन हक़िक़तन

तेरा सितम भी तेरी इनायत से कम नहीं

 

 

ab ishq us maqam pe hai justuju-navard

saaya nahi jahan koi naqsh-e-qadam nahin

अब इश्क़ उस मक़ाम पे है जूसतुजू-नदारत

साया नही जहाँ कोई नक़्श-ए-क़दम नहीं

 

milta hai kyun maza sitam-e-rozgar me

tera karam bhi khud jo sharik-e-sitam nahi

मिलता है क्यूँ मज़ा सितम-ए-रोज़गार मे

तेरा करम भी खुद जो शरीक-ए-सितम नही

 

 

marg-e-‘jigar’ pe kyun teri ankhen hai ashk-rez

ik saneha sahi magar itna aham nahi

मार्ग-ए-‘जिगर’ पे क्यूँ तेरी आँखें है अश्क-रेज़

एक सनेहा सही मगर इतना अहम नही

Below written sher is updated in the year 2020

Jigar Moradabadi Shayari in Hindi

Dhadakne laga Dil nazar jhuk gai
Kabhi un se jab samna ho gaya

 

धड़कने लगा दिल नज़र झुक गई
कभी उन से जब सामना हो गया

 

wo the na mujh se duur na mai un se dur tha
Aata na tha nazar to nazar ka qusur tha

 

वो थे ना मुझ से दूर ना म्य उन से दूर था
आता ना था नज़र तो नज़र का क़ुसूर था

So this is all about Jigar Moradabadi Shayari Hindi. If you have any kind of query or suggestion please write to us in the comment box below.

Dard bhari shayari in hindi 140 – दर्द भारी शायरी इन हिन्दी 140

Sher o Shayari on Zindagi – latest sher-o-shayari collection

shayari in hindi about life – Rahat indori shayari in hindi

Arsh Ali

Published by
Arsh Ali

Recent Posts

Nasha Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More

2 years ago

Barish Shayari In Hindi| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More

2 years ago

Tadap Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More

2 years ago

Personality Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More

2 years ago

Pyar Ki Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More

2 years ago

Rajneeti Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm

Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More

3 years ago

This website uses cookies.

Read More