Parveen Shakir Poetry in Urdu collection is one of the best collection of Urdu Poetry. Parveen Shakir is one of the best Urdu poets in the world.
She is one of the famous Pakistani poets. Parveen Shakir Poetry in Urdu collection is also translated into a number of other languages.
Parveen Shakir (24 November 1952 – 26 December 1994) was an Urdu poet, teacher and a civil servant Parveen started writing at an early age and published her first volume of poetry, Khushbu to great acclaim, in 1976.
She subsequently published other volumes of poetry – all well-received – Sad-barg [Marsh Marigold] in 1980, Khud Kalami and Inkaar in 1990, Kaf-e-Aina besides a collection of her newspaper columns, titled Gosha-e-Chashm , and was awarded one of Pakistan’s highest honours, the Pride of Performance for her outstanding contribution to literature in 1976. The poetry books are collected in the volume Mah-e-Tamaam with the exception of Kaf-e-Aina. Parveen died in 1994 in a car accident while on her way to work.
Now I would like to write Sher (Couplet) of Parveen Shakir Poetry in Urdu collection, Nowadays it Famous as Parveen Shakir 2 line Poetry.
Husn ke samajhne ko umr chahiye jaana
Do ghadi ki chahat mein ladkiyan nahin khulti
हुस्न के समझने को उम्र चाहिए जाना
दो घड़ी की चाहत में लड़कियाँ नहीं खुलती
Wo to Khushbu hai hawaon mein bikhar jaega
masla phul ka hai phul kidhar jaega
वो तो खुश्बू है हवाओं में बिखर जाएगा
मसला फूल का है फूल किधर जाएगा
Mai sach kahungi magar phir bhi haar jaungi
wo jhut bolega aur la-jawab kar dega
मैं सच कहूँगी मगर फिर भी हार जाऊँगी
वो झुत बोलेगा और ला-जवाब कर देगा
Ab bhi barsat ki raato mein badan TuTta hai
Jag uthti hain ajab Khwahishen angdai ki
अब भी बरसात की रातो में बदन टूटता है
जाग उठती हैं अजब ख्वाहिशें अंगड़ाई की
Chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
Ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya
चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दिया
Itne ghane badal ke piche
Kitna tanha hoga chand
इतने घने बादल के पीछे
कितना तन्हा होगा चाँद
kaise kah dun ki mujhe chhoD diya hai us ne
baat to sach hai magar baat hai ruswai ki
कैसे कह दूं की मुझे छोड दिया है उस ने
बात तो सच है मगर बात है रुसवाई की
Dushmanon ke sath mere dost bhi aazad hain
Dekhna hai khinchta hai mujh pe pahla teer kaun
दुश्मनों के साथ मेरे दोस्त भी आज़ाद हैं
देखना है खींचता है मुझ पे पहला तीर कौन
Wo na aaega hame malum tha is sham bhi
Intizar us ka magar kuch soch kar karte rahe
वो ना आएगा हमे मालूम था इस शाम भी
इंतिज़ार उस का मगर कुछ सोच कर करते रहे
Chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
Ishq ke is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya
Ae meri gul-zamin tujhe chah thi ek kitab ki
Ahl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya
Milte hue dilo ke bich aur tha faisla koi
Us ne magar bichhadte waqt aur sawal kar diya
Ab ke hawa ke sath hai daman-e-yar muntazir
Banu-e-shab ke hath mein rakhna sambhaal kar diya
Mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
Hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya
Mere labon pe mohar thi par mere shisha-ru ne to
Shahr ke Shahr ko mera waqif-e-haal kar diya
Chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake
Waqt ne kis shabih ko Khwab o Khayal kar diya
Muddaton baad us ne aaj mujh se koi gila kiya
Mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahaal kar diya
चलने का हौसला नहीं रुकना मुहाल कर दिया
इश्क़ के इस सफ़र ने तो मुझ को निढाल कर दिया
आए मेरी गुल-ज़मीन तुझे चाह थी एक किताब की
आहल-ए-किताब ने मगर क्या तेरा हाल कर दिया
मिलते हुए दिलो के बीच और था फ़ैसला कोई
उस ने मगर बिच्छाड़ते वक़्त और सवाल कर दिया
अब के हवा के साथ है दामन-ए-यार मुंतज़ीर
बनू-ए-शब के हाथ में रखना संभाल कर दिया
मुमकिना फ़ैसलों में एक हिजर का फ़ैसला भी था
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया
मेरे लबों पे मोहर थी पर मेरे शीशा-रु ने तो
शाहर के शाहर को मेरा वाक़िफ़-ए-हाल कर दिया
चेहरा ओ नाम एक साथ आज ना याद आ सके
वक़्त ने किस शबीह को ख्वाब ओ ख़याल कर दिया
मुद्दतों बाद उस ने आज मुझ से कोई गिला किया
मानसब-ए-दिलबारी पे क्या मुझ को बहाल कर दिया
Justuju khoe huo ki umr bhar karte rahe
Chand ke hamrah hum har shab safar karte rahe
Raston ka ilm tha hum ko na samton ki KHabar
Shahr-e-na-malum ki chahat magar karte rahe
Hum ne KHud se bhi chupaya aur sare shahr ko
Tere jaane ki KHabar diwar-o-dar karte rahe
Wo na aaega hamein malum tha is sham bhi
Intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
Aaj aaya hai hamein bhi un udano ka Khayal
Jin ko tere zoam mein be-baal-o-par karte rahe
जूसतुजू खोए हुओ की उम्र भर करते रहे
चाँद के हमराह हम हर शब सफ़र करते रहे
रास्तों का इल्म था हम को ना सम्तो की खबर
शाहर-ए-ना-मालूम की चाहत मगर करते रहे
हम ने खुद से भी छुपाया और सारे शाहर को
तेरे जाने की खबर दीवार-ओ-दर करते रहे
वो ना आएगा हमें मालूम था इस शाम भी
इंतिज़ार उस का मगर कुच्छ सोच कर करते रहे
आज आया है हमें भी उन उड़ानो का ख़याल
जिन को तेरे ज़ोअम में बे-बाल-ओ-पर करते रहे
Qaid mein guzregi jo umr bade kaam ki thi
Par main kya karti ki zanjir tere nam ki thi
Jis ke mathe pe mere bakht ka tara chamka
Chand ke Dubne ki baat usi sham ki thi
Mai ne hathon ko hi patwar banaya warna
Ek Tuti hui kashti mere kis kaam ki thi
Wo kahani ki abhi suiyan nikli bhi na thi
Fikr har shaks ko shahzadi ke anjam ki thi
Ye hawa kaise uda le gai aanchal mera
Yun satane ki to aadat mere ghanshyam ki thi
Bojh uThate hue phirti hai hamara ab tak
Ae zamin-man teri ye umr to aaram ki thi
क़ैद में गुज़रेगी जो उम्र बड़े काम की थी
पर मैं क्या करती कि ज़ंजीर तिरे नाम की थी
जिस के माथे पे मिरे बख़्त का तारा चमका
चाँद के डूबने की बात उसी शाम की थी
मैं ने हाथों को ही पतवार बनाया वर्ना
एक टूटी हुई कश्ती मिरे किस काम की थी
वो कहानी कि अभी सूइयाँ निकलीं भी न थीं
फ़िक्र हर शख़्स को शहज़ादी के अंजाम की थी
ये हवा कैसे उड़ा ले गई आँचल मेरा
यूँ सताने की तो आदत मिरे घनश्याम की थी
बोझ उठाते हुए फिरती है हमारा अब तक
ऐ ज़मीं-माँ तिरी ये उम्र तो आराम की थी
Nazm is a significant genre of Urdu poetry. Nazm is significantly written by controlling one’s thoughts and feelings, which are constructively discussed as well as developed and finally, concluded, according to the poetic laws. Parveen Shakir has written many Namz, So here a few Famous Nazm of Parveen Shakir Shayari named as “Aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi“.
Aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi
Raat gahri hai magar chand chamakta hai abhi
Mere mathe pe tera pyar damakta hai abhi
Meri sanso me tera lams mahakta hai abhi
Mere sine me tera naam dhadakta hai abhi
Zist karne ko mere pas bahut kuch hai abhi
Teri aawaz ka jadu hai abhi mere liye
Tere malbus ki Khushbu hai abhi mere liye
Teri bahen tera pahlu hai abhi mere liye
Sab se badh kar meri jaan tu hai abhi mere liye
Zist karne ko mere pas bahut kuchh hai abhi
Aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi!
Aaj ke baad magar rang-e-wafa kya hoga
Ishq hairan hai sar-e-shahr-e-saba kya hoga
Mere qatil tera andaz-e-jafa kya hoga
Aaj ki shab to bahut kuch hai magar kal ke liye
Ek andesha-e-be-naam hai aur kuch bhi nahi
Dekhna ye hai ki kal tujh se mulaqat ke baad
Rang-e-ummeed khilega ki bikhar jaega
Waqt parwaz karega ki Thahar jaega
Jit ho jaegi ya khel bigad jaega
Khwab ka shahr rahega ki ujad jaega
आज की शब तो किसी तौर गुज़र जाएगी
रात गहरी है मगर चाँद चमकता है अभी
मेरे माथे पे तिरा प्यार दमकता है अभी
मेरी साँसों में तिरा लम्स महकता है अभी
मेरे सीने में तिरा नाम धड़कता है अभी
ज़ीस्त करने को मिरे पास बहुत कुछ है अभी
तेरी आवाज़ का जादू है अभी मेरे लिए
तेरे मल्बूस की ख़ुश्बू है अभी मेरे लिए
तेरी बाँहें तिरा पहलू है अभी मेरे लिए
सब से बढ़ कर मिरी जाँ तू है अभी मेरे लिए
ज़ीस्त करने को मिरे पास बहुत कुछ है अभी
आज की शब तो किसी तौर गुज़र जाएगी!
आज के बIद मगर रंग-ए-वफ़ा क्या होगा
इश्क़ हैराँ है सर-ए-शहर-ए-सबा क्या होगा
मेरे क़ातिल तिरा अंदाज़-ए-जफ़ा क्या होगा!
आज की शब तो बहुत कुछ है मगर कल के लिए
एक अंदेशा-ए-बेनाम है और कुछ भी नहीं
देखना ये है कि कल तुझ से मुलाक़ात के ब’अद
रंग-ए-उम्मीद खिलेगा कि बिखर जाएगा
वक़्त पर्वाज़ करेगा कि ठहर जाएगा
जीत हो जाएगी या खेल बिगड़ जाएगा
ख़्वाब का शहर रहेगा कि उजड़ जाएगा
So it is our latest collection Parveen Shakir Poetry in Urdu collection and we will update from time to time. If you liked then please tell us that how was your opinion about this collection Parveen Shakir Poetry in Urdu collection. Please write to us in the comment box.
Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More
Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More
Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More
Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More
Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More
Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More
This website uses cookies.
Read More