Mir Taqi Mir is one of the best Urdu poets in the world. Mir Taqi Mir selected poetry in Urdu is also translated in a number of languages.
Before Start my post on Mir Taqi Mir selected poetry in Urdu, I would like to introduce Mir Taqi Mir.
Mir Muhammad Taqi Mir whose takhallus (pseudonym) was once in a while likewise spelled Mir Taqi Mir (February 1723 – 21 September 1810), was the main Urdu writer of the eighteenth century, and one of the pioneers who offered shape to the Urdu dialect itself.
He was one of the primary artists of the Delhi School of the Urdu ghazal and remains ostensibly the premier name in Urdu verse and frequently recognized as extraordinary compared to other writers of Urdu Language. His complete works(Kulliaat) consist of six divans and nearly 14,000 couplets. He was a versatile Urdu poet because he writes in every aspect of Urdu poetry like he writes all kinds of poetic forms: ghazal, masnavi, qasida, rubai, mustezaad, satire, etc.
yaaro mujhe muaaf rakho mai nashe me hu
ab do to jaam khali hi do mai nashe me hu
यारो मुझे मुआफ़ रखो मई नशे मे हू
अब दो तो जाम खाली ही दो मय नशे मे हू
ek ek qurt daur me yu hi mujhe bhi do
jam-e-sharab pur na karo mai nashe me hu
एक एक क़ुर्त दौर मे यू ही मुझे भी दो
जाम-ए-शराब पूर ना करो मय नशे मे हू
masti se darhami hai meri guftugu ke beech
jo chaho tum bhi mujh ko kaho mai nashe me hu
मस्ती से डरहमी है मेरी गुफ़्तुगू के बीच
जो चाहो तुम भी मुझ को कहो मय नशे मे हू
ya hatho haath lo mujhe manind-e-jam-e-mai
ya thodi duur saath chalo mai nashe me hu
या हाथो हाथ लो मुझे मानिंद-ए-जाम-ए-मय
या थोड़ी दूर साथ चलो मय नशे मे हू
maazur hu jo paav mera be-tarah pade
tum sargira to mujh se na ho mai nashe me hu
माज़ुर हू जो पाव मेरा बे-तरह पड़े
तुम सरगिरा तो मुझ से ना हो मय नशे मे हू
bhagi namaz-e-juma to jaati nahi hai kuch
chalta hu mai bhi Tuk to raho mai nashe me hu
भागी नमाज़-ए-ज़ूमा तो जाती नही है कुछ
चलता हू मई भी टुक तो रहो मय नशे मे हू
nazuk-mizaj aap qayamat hai ‘mir’ ji
juu shisha mere muh na lago mai nashe me hu
नाज़ुक-मिज़ाज आप क़यामत है ‘मीर’ जी
ज़्यु शीशा मेरे मूह ना लागो मय नशे मे हू
kya kahun tum se main ki kya hai ishq
jaan ka rog hai bala hai ishq
क्या कहूँ तुम से मैं की क्या है इश्क़
जान का रोग है बाला है इश्क़
ishq hi ishq hai jahan dekho
sare aalam mein bhar raha hai ishq
इश्क़ ही इश्क़ है जहाँ देखो
सारे आलम में भर रहा है इश्क़
ishq hai tarz o taur ishq ke tain
kahin banda kahin KHuda hai ishq
इश्क़ है तर्ज़ ओ तौर इश्क़ के तईं
कहीं बंदा कहीं ख़ुदा है इश्क़
ishq mashuq ishq aashiq hai
yani apna hi mubtala hai ishq
इश्क़ माशूक़ इश्क़ आशिक़ है
यानी अपना ही मुब्तला है इश्क़
gar parastish KHuda ki sabit ki
kisu surat mein ho bhala hai ishq
गर परस्तिश ख़ुदा की साबित की
किसु सूरत में हो भला है इश्क़
dilkash aisa kahan hai dushman-e-jaan
muddai hai pa muddaa hai ishq
दिलकश ऐसा कहाँ है दुश्मन-ए-जान
मुद्दई है पा मुद्दा है इश्क़
hai hamare bhi taur ka aashiq
jis kisi ko kahin hua hai ishq
है हमारे भी तौर का आशिक़
जिस किसी को कहीं हुआ है इश्क़
koi KHwahan nahin mohabbat ka
tu kahe jins-e-na-rawa hai ishq
कोई ख़्वाहाँ नहीं मोहब्बत का
तू कहे जींस-ए-ना-राव है इश्क़
‘mir’-ji zard hote jate ho
kya kahin tum ne bhi kiya hai ishq
‘मीर’-जी ज़र्द होते जाते हो
क्या कहीं तुम ने भी किया है इश्क़
rah-e-dur-e-ishq mein rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
राह-ए-दूर-ए-इश्क़ में रोता है क्या
आगे आगे देखिए होता है क्या
qafile mein subh ke ek shor hai
yani ghafil hum chale sota hai kya
क़ाफ़िले में सुब्ह के एक शोर है
यानी ग़ाफ़िल हम चले सोता है क्या
sabz hoti hi nahin ye sarzamin
tuKHm-e-KHwahish dil mein tu bota hai kya
सब्ज़ होती ही नहीं ये सरज़मीं
तुख़्म-ए-ख़्वाहिश दिल में तू बोता है क्या
ye nishan-e-ishq hain jate nahin
dagh chhati ke abas dhota hai kya
ये निशान-ए-इश्क़ हैं जाते नहीं
दाग़ छाती के अबस धोता है क्या
ghairat-e-yusuf hai ye waqt-e-aziz
‘mir’ us ko raegan khota hai kya
घैरत-ए-युसुफ है ये वक़्त-ए-अज़ीज़
‘मीर’ उस को राएगाँ खोता है क्या
Ashk aankho me kab nahi aata
Lohu aata hai jab nahi aata
Hosh jata nahi raha lekin
Jab wo aata hai tab nahi aata
Sabr tha ek monis-e-hijra
So wo muddat se ab nahi aata
Dil se ruksat hui koi Khwahish
Girya kuch be-sabab nahi aata
Ishq ko hausla hai shart arna
baat ka kis ko dhab nahi aata
Ji me kya kya hai apne ae hamdam
Par sukhan ta-ba-lab nahi aata
Dur baitha ghubar-e-‘mir’ us se
Ishq bin ye adab nahi aata
अश्क आँखों में कब नहीं आता
लोहू आता है जब नहीं आता
होश जाता नहीं रहा लेकिन
जब वो आता है तब नहीं आता
सब्र था एक मोनिस-ए-हिज्राँ
सो वो मुद्दत से अब नहीं आता
दिल से रुख़्सत हुई कोई ख़्वाहिश
गिर्या कुछ बे-सबब नहीं आता
इश्क़ को हौसला है शर्त अर्ना
बात का किस को ढब नहीं आता
जी में क्या क्या है अपने ऐ हमदम
पर सुख़न ता-ब-लब नहीं आता
दूर बैठा ग़ुबार-ए-‘मीर’ उस से
इश्क़ बिन ये अदब नहीं आता
Staring With this Video in Which Few sher of Mir Taqi Mir.
Blow I like to present some of the best, Heart touching, Fabulous Poetry that you always remember, This is why Mir Taqi Mir Shayari is so Famous.
Ulti ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya
dekha is bimari-e-dil ne aaKHir kaam tamam kiya
उल्टी हो गईं सब तदबीरें कुछ ना दवा ने काम किया
देखा इस बीमारी-ए-दिल ने आख़िर काम तमाम किया
patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai
jaane na jaane gul hi na jaane bagh to sara jaane hai
पत्ता पत्ता बूटा बूटा हाल हमारा जाने है
जाने ना जाने गुल ही ना जाने बाग तो सारा जाने है
Nazuki us ke lab ki kya kahiye
pankhuDi ek gulab ki si hai
नाज़ुकी उस के लब की क्या कहिए
पंखुड़ी एक गुलाब की सी है
Ham hue tum hue ki ‘mir’ hue
us ki zulfo ke sab aseer hue
हम हुए तुम हुए की ‘मीर’ हुए
उस की ज़ुल्फो के सब असीर हुए
rote phirte hai saari saari raat
ab yahi rozgaar hai apna
रोते फिरते है सारी सारी रात
अब यही रोज़गार है अपना
sirhane ‘mir’ ke koi na bolo
abhi Tuk rote rote so gaya hai
सिरहाने ‘मीर’ के कोई ना बोलो
अभी टुक रोते रोते सो गया है
Be-khudi le gai kahan ham ko
der se intizar hai apna
बे-खुदी ले गई कहाँ हम को
देर से इंतिज़ार है अपना
Ishq men ji ko sabr o taab kaha
us se aankhe ladi to khwab kaha
इश्क़ में जी को सब्र ओ ताब कहा
उस से आँखे लड़ी तो ख्वाब कहा
Kya kahen kuch kaha nahi jata
ab to chup bhi raha nahi jata
क्या कहें कुछ कहा नही जाता
अब तो चुप भी रहा नही जाता
‘Mir’ sahab tum farishta ho to ho
aadmi hona to mushkil hai miya
‘मीर’ साहब तुम फ़रिश्ता हो तो हो
आदमी होना तो मुश्किल है मियाँ
Be-khudi le gai kaha ham ko
Der se intizar hai apna
बे-ख़ुदी ले गई कहाँ हम को
देर से इंतिज़ार है अपना
Ab kar ke faramosh to nashad karoge
Par ham jo na honge to bahut yaad karoge
अब कर के फ़रामोश तो नाशाद करोगे
पर हम जो न होंगे तो बहुत याद करोगे
Vasl me rang ud gaya mera
Kya judai ko muh dikhaunga
वस्ल में रंग उड़ गया मेरा
क्या जुदाई को मुँह दिखाऊँगा
Ishq me ji ko sabr o taab kaha
Us se ankhe ladi to khvab kaha
इश्क़ में जी को सब्र ओ ताब कहाँ
उस से आँखें लड़ीं तो ख़्वाब कहाँ
Shart saliqa hai har ik amr me
Aib bhi karne ko hunar chahiye
शर्त सलीक़ा है हर इक अम्र में
ऐब भी करने को हुनर चाहिए
Dil mujhe us gali me le ja kar
Aur bhi khaak me mila laaya
दिल मुझे उस गली में ले जा कर
और भी ख़ाक में मिला लाया
Ham jante to ishq na karte kisu ke saath
le jaate dil ko khaak me is aarzu ke saath
हम जानते तो इश्क़ न करते किसू के साथ
ले जाते दिल को ख़ाक में इस आरज़ू के साथ
Sakht kafir tha jin ne pahle ‘mir’
mazhab-e-ishq Ikhtiyar kiya
सख़्त काफ़िर था जिन ने पहले ‘मीर’
मज़हब-ए-इश्क़ इख़्तियार किया
Yahi jaana ki kuch na jaana hae
So bhi ek umr me hua maalum
यही जाना कि कुछ न जाना हाए
सो भी इक उम्र में हुआ मालूम
So it is our latest collection Mir Taqi Mir selected poetry in Urdu and we will update from time to time. If you liked then please tell us that how was your opinion about this collection Mir Taqi Mir selected poetry in Urdu. Please write to us in the comment box.
Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More
Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More
Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More
Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More
Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More
Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More
This website uses cookies.
Read More