Shayari

Jaun Elia Poetry- An Excellent Poetry of 19th Century and Still Live.

Jaun Elia Poetry is one of the best Urdu Poetry that mesmerises youth and mature alike. Jaun Elia is one of the best Urdu poets in the world. He is popular in India and Pakistan. He is equally popular in the middle east and other parts of the world where poetry-loving people exist. His works have been translated into many languages. It is again a testimony of his mass reach.

Jaun Elia sad Shayari in Hindi is also very famous. Jaun Elia ( 14 December 1931 – 8 November 2002) was a Pakistani dynamic Marxist Urdu writer, scholar, biographer, and researcher. He was the sibling of Rais Amrohvi and Syed Muhammad Taqi, who were columnists and psychoanalysts.

He was familiar with Urdu, Arabic, English, Persian, Sanskrit, and Hebrew. A standout amongst the most noticeable present-day Pakistani writers, well known for his offbeat ways, he “procured information of reasoning, rationale, Islamic history, the Muslim Sufi tradition, Muslim religious sciences, Western writing, and Kabbala.

 

Jaun Elia Poetry

Below I like to write most hearts touching Ghazal of Jaun Elia Poetry.

 

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

Shauq ka rang bujh gaya, yad k zakhm bhar gye

Kya meri fasal ho chuki kya mere din guzar gye

 

Rah-guzar-e-khyal me dosh-ba-dosh the jo log

Waqt ki garbad me jaane kaha bichad gaye

 

Shaam hai kitni be-tapak shehar hai kitna seham-naak

Ham nafaso kaha ho tum? Jane ye sb kidhar gye

 

Hifz-e-Hayat ka khayal hmko bht bura laga

Pas ba-hujoom-e-muarka jan k be-sipar gye

 

Mai to safo k darmiyaa kab se pada hu neem-jaan

Mere tamam ja-nisaar mere liye to mar gye

 

Raunaq-e-bazm-e-zindagi turfaan hai tere log bhi

Ek to kabhi na aaye the, aaye to rooth kar gye

 

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

शौक का रंग बुझ गया , याद के ज़ख्म भर गए
क्या मेरी फसल हो चुकी, क्या मेरे दिन गुज़र गए?

रहगुज़र-ए-ख्याल में दोष बा दोष थे जो लोग
वक्त की गर्द ओ बाद में जाने कहाँ बिखर गए

शाम है कितनी बे तपाक, शहर है कितना सहम नाक
हम नफ़सो कहाँ तो तुम, जाने ये सब किधर गए

हिफ्ज़-ए- हयात का ख्याल हम को बहुत बुरा लगा
पास बा हुजूम-ए-मारका, जान के भी सिपर गए

मैं तो सपों के दरमियान, कब से पड़ा हूँ निम-जान
मेरे तमाम जान-निसार मेरे लिए तो मर गए

रौनक-ए-बज़्म-ए-ज़िन्दगी, तुरफा हैं तेरे लोग भी
एक तो कभी न आये थे, आये तो रूठ कर गए

 

 

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

kisi se ahd-o-paiman kar na rahiyo

 

 

This is a great and very popular Ghazal of Jaun Elia. He earned many accolades because of this piece of poetry. Enjoy the happy reading.

kisi se ahd-o-paiman kar na rahiyo

to us basti mein rahiyo par na rahiyo

safar karna hai aaKHir do palak beach

safar lamba hai base bistar na rahiyo

har ek haalat ke beri hain ye lamhe

kisi gham ke bharose par na rahiyo

suhulat se guzar jao meri jaan

kahin jine ki KHatir mar na rahiyo

hamara umr-bhar ka sath Thera

so mere sath tu din-bhar na rahiyo

bahut dushwar ho jaega jina

yahan to zat ke andar na rahiyo

sawere hi se ghar aajaiyo aaj

hai roz-e-waqia bahar na rahiyo

kahin chhup jao na KHanon mein ja kar

shab-e-fitna hai apne ghar na rahiyo

nazar par bar ho jate hain manzar

jahan rahiyo wahan aksar na rahiyo

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

किसी से अहद-ओ-पैमाँ कर न रहियो

तो उस बस्ती में रहियो पर न रहियो

सफ़र करना है आख़िर दो पलक बीच

सफ़र लम्बा है बसे बिस्तर न रहियो

हर इक हालत के बेरी हैं ये लम्हे

किसी ग़म के भरोसे पर न रहियो

सुहूलत से गुज़र जाओ मिरी जाँ

कहीं जीने की ख़ातिर मर न रहियो

हमारा उम्र-भर का साथ ठेरा

सो मेरे साथ तू दिन-भर न रहियो

बहुत दुश्वार हो जाएगा जीना

यहाँ तो ज़ात के अंदर न रहियो

सवेरे ही से घर आजाइयो आज

है रोज़-ए-वाक़िआ’ बाहर न रहियो

कहीं छुप जाओ न ख़ानों में जा कर

शब-ए-फ़ित्ना है अपने घर न रहियो

नज़र पर बार हो जाते हैं मंज़र

जहाँ रहियो वहाँ अक्सर न रहियो

 

 

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

Umr guzregi imtihan mein kya
Dagh hi denge mujh ko dan mein kya

Meri har baat be-asar hi rahi
Naqs hai kuch mere bayan mein kya

Mujh ko to koi Tokta bhi nahin
Yahi hota hai Khandan mein kya

Apni mahrumiyan chupate hain
Hum gharibon ki aan-ban mein kya

Khud ko jaana juda zamane se
Aa gaya tha mere guman mein kya

Sham hi se dukan-e-did hai band
Nahin nuqsan tak dukan mein kya

Ae mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq
Tu nahati hai ab bhi ban mein kya

Bolte kyun nahin mere haq me in


Aable pad gae zaban mein kya

Khamoshi kah rahi hai kan mein kya
Aa raha hai mere guman mein kya

Dil ki aate hain jis ko dhyan bahut
Khud bhi aata hai apne dhyan mein kya

Wo mile to ye puchhna hai mujhe
Ab bhi hun mai teri aman mein kya

Yu jo takta hai aasman ko tu
koi Rahta hai aasman mein kya

Hai nasim-e-bahaar gard-alud
KHak udti hai us makan mein kya

Ye mujhe chain kyun nahin padta
Ek hi shaKHs tha jahan mein kya

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

उम्र गुज़रेगी इम्तिहान में क्या
दाग़ ही देंगे मुझ को दान में क्या

मेरी हर बात बे-असर ही रही
नक़्स है कुछ मिरे बयान में क्या

मुझ को तो कोई टोकता भी नहीं
यही होता है ख़ानदान में क्या

अपनी महरूमियाँ छुपाते हैं
हम ग़रीबों की आन-बान में क्या

ख़ुद को जाना जुदा ज़माने से
आ गया था मिरे गुमान में क्या

शाम ही से दुकान-ए-दीद है बंद
नहीं नुक़सान तक दुकान में क्या

ऐ मिरे सुब्ह-ओ-शाम-ए-दिल की शफ़क़
तू नहाती है अब भी बान में क्या

बोलते क्यूँ नहीं मिरे हक़ में
आबले पड़ गए ज़बान में क्या

ख़ामुशी कह रही है कान में क्या
आ रहा है मिरे गुमान में क्या

दिल कि आते हैं जिस को ध्यान बहुत
ख़ुद भी आता है अपने ध्यान में क्या

वो मिले तो ये पूछना है मुझे
अब भी हूँ मैं तिरी अमान में क्या

यूँ जो तकता है आसमान को तू
कोई रहता है आसमान में क्या

है नसीम-ए-बहार गर्द-आलूद
ख़ाक उड़ती है उस मकान में क्या

ये मुझे चैन क्यूँ नहीं पड़ता
एक ही शख़्स था जहान में क्या

Jaun Elia Poetry

Now I like to write Another famous Ghazal of Jaun Elia Poetry.

 

Bahut dil ko kushada kar liya kya
Zamane bhar se wada kar liya kya

To kya sach-much judai mujh se kar li
To KHud apne ko aadha kar liya kya

Hunar-mandi se apni dil ka safha
Meri jaan tum ne sada kar liya kya

Jo yaksar jaan hai us ke badan se
Kaho kuchh istifada kar liya kya

Bahut katra rahe ho mughbachon se
Gunah-e-tark-e-baada kar liya kya

Yahan ke log kab ke ja chuke hain
Safar jada-ba-jada kar liya kya

Uthaya ek qadam tu ne na us tak
Bahut apne ko manda kar liya kya

Tum apni kaj-kulahi haar baiThin
Badan ko be-libaada kar liya kya

Bahut nazdik aati ja rahi ho
BichhaDne ka irada kar liya kya

 

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

बहुत दिल को कुशादा कर लिया क्या
ज़माने भर से वा’दा कर लिया क्या

तो क्या सच-मुच जुदाई मुझ से कर ली
तो ख़ुद अपने को आधा कर लिया क्या

हुनर-मंदी से अपनी दिल का सफ़्हा
मिरी जाँ तुम ने सादा कर लिया क्या

जो यकसर जान है उस के बदन से
कहो कुछ इस्तिफ़ादा कर लिया क्या

बहुत कतरा रहे हो मुग़्बचों से
गुनाह-ए-तर्क-ए-बादा कर लिया क्या

यहाँ के लोग कब के जा चुके हैं
सफ़र जादा-ब-जादा कर लिया क्या

उठाया इक क़दम तू ने न उस तक
बहुत अपने को माँदा कर लिया क्या

तुम अपनी कज-कुलाही हार बैठीं
बदन को बे-लिबादा कर लिया क्या

बहुत नज़दीक आती जा रही हो
बिछड़ने का इरादा कर लिया क्या

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

This beautiful Ghazal has won many accolades for Jaun Elia in various Mushairas across the world.

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge

jaane kaise log wo honge jo us ko bhate honge

sham hue KHush-bash yahan ke mere pas aa jate hain

mere bujhne ka nazzara karne aa jate honge

wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha

aane walon se kya matlab aate hain aate honge

us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hoga

yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jate honge

yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka

wo jo simaTte honge un mein wo to mar jate honge

mera sans ukhaDte hi sab bain karenge roenge

yani mere baad bhi yani sans liye jate honge

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

\

कितने ऐश से रहते होंगे कितने इतराते होंगे

जाने कैसे लोग वो होंगे जो उस को भाते होंगे

शाम हुए ख़ुश-बाश यहाँ के मेरे पास आ जाते हैं

मेरे बुझने का नज़्ज़ारा करने आ जाते होंगे

वो जो न आने वाला है ना उस से मुझ को मतलब था

आने वालों से क्या मतलब आते हैं आते होंगे

उस की याद की बाद-ए-सबा में और तो क्या होता होगा

यूँही मेरे बाल हैं बिखरे और बिखर जाते होंगे

यारो कुछ तो ज़िक्र करो तुम उस की क़यामत बाँहों का

वो जो सिमटते होंगे उन में वो तो मर जाते होंगे

मेरा साँस उखड़ते ही सब बैन करेंगे रोएँगे

या’नी मेरे बा’द भी या’नी साँस लिए जाते होंगे

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

aadmi waqt par gaya hoga

waqt pahle guzar gaya hoga

wo hamari taraf na dekh ke bhi

koi ehsan dhar gaya hoga

Khud se mayus ho ke baiTha hun

aaj har shaKHs mar gaya hoga

sham tere dayar mein aaKHir

koi to apne ghar gaya hoga

marham-e-hijr tha ajab iksir

ab to har zaKHm bhar gaya hoga

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

आदमी वक़्त पर गया होगा

वक़्त पहले गुज़र गया होगा

वो हमारी तरफ़ न देख के भी

कोई एहसान धर गया होगा

ख़ुद से मायूस हो के बैठा हूँ

आज हर शख़्स मर गया होगा

शाम तेरे दयार में आख़िर

कोई तो अपने घर गया होगा

मरहम-ए-हिज्र था अजब इक्सीर

अब तो हर ज़ख़्म भर गया होगा

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

Jaun Elia Beautiful Nazm

tum jab aaogi to khoya hua paogi mujhe

meri tanhai mein KHwabon ke siwa kuchh bhi nahin

mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhein

mere kamre mein kitabon ke siwa kuchh bhi nahin

in kitabon ne baDa zulm kiya hai mujh par

in mein ek ramz hai jis ramz ka mara hua zehn

muzhda-e-ishrat-e-anjam nahin pa sakta

zindagi mein kabhi aaram nahin pa sakta

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

Jaun Elia Beautiful Nazm

तुम जब आओगी तो खोया हुआ पाओगी मुझे

मेरी तन्हाई में ख़्वाबों के सिवा कुछ भी नहीं

मेरे कमरे को सजाने की तमन्ना है तुम्हें

मेरे कमरे में किताबों के सिवा कुछ भी नहीं

इन किताबों ने बड़ा ज़ुल्म किया है मुझ पर

इन में इक रम्ज़ है जिस रम्ज़ का मारा हुआ ज़ेहन

मुज़्दा-ए-इशरत-ए-अंजाम नहीं पा सकता

ज़िंदगी में कभी आराम नहीं पा सकता

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

Jaun Elia Beautiful Nazm

main shayad tum ko yaksar bhulne wala hun

shayad jaan-e-jaan shayad

ki ab tum mujh ko pahle se ziyaada yaad aati ho

hai dil ghamgin bahut ghamgin

ki ab tum yaad dildarana aati ho

shamim-e-dur-manda ho

bahut ranjida ho mujh se

magar phir bhi

masham-e-jaan mein mere aashti-mandana aati ho

judai mein bala ka iltifat-e-mehramana hai

qayamat ki KHabar-giri hai

behad naz-bardari ka aalam hai

tumhaare rang mujh mein aur gahre hote jate hain

main Darta hun

mere ehsas ke is KHwab ka anjam kya hoga

ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar

jazbon ke bairi waqt ki sazish na ho koi

tumhaare is tarah har lamha yaad aane se

dil sahma hua sa hai

to phir tum kam hi yaad aao

mata-e-dil mata-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao

bahut kuchh bah gaya hai sail-e-mah-o-sal mein ab tak

sabhi kuchh to na bah jae

ki mere pas rah bhi kya gaya hai

kuchh to rah jae

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

Jaun Elia Beautiful Nazm

 

मैं शायद तुम को यकसर भूलने वाला हूँ

शायद जान-ए-जाँ शायद

कि अब तुम मुझ को पहले से ज़ियादा याद आती हो

है दिल ग़मगीं बहुत ग़मगीं

कि अब तुम याद दिलदाराना आती हो

शमीम-ए-दूर-माँदा हो

बहुत रंजीदा हो मुझ से

मगर फिर भी

मशाम-ए-जाँ में मेरे आश्ती-मंदाना आती हो

जुदाई में बला का इल्तिफ़ात-ए-मेहरमाना है

क़यामत की ख़बर-गीरी है

बेहद नाज़-बरदारी का आलम है

तुम्हारे रंग मुझ में और गहरे होते जाते हैं

मैं डरता हूँ

मिरे एहसास के इस ख़्वाब का अंजाम क्या होगा

ये मेरे अंदरून-ए-ज़ात के ताराज-गर

जज़्बों के बैरी वक़्त की साज़िश न हो कोई

तुम्हारे इस तरह हर लम्हा याद आने से

दिल सहमा हुआ सा है

तो फिर तुम कम ही याद आओ

मता-ए-दिल मता-ए-जाँ तो फिर तुम कम ही याद आओ

बहुत कुछ बह गया है सैल-ए-माह-ओ-साल में अब तक

सभी कुछ तो न बह जाए

कि मेरे पास रह भी क्या गया है

कुछ तो रह जाए

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

Jaun Elia Beautiful Nazm

tumhaare nam tumhaare nishan se be-sarokar

tumhaari yaad ke mausam guzarte jate hain

bas ek manzar-e-be-hijr-o-visal hai jis mein

hum apne aap hi kuchh rang bharte jate hain

na wo nashat-e-tasawwur ki lo tum aa hi gae

na zaKHm-e-dil ki hai sozish koi jo sahni ho

na koi wada-o-paiman ki sham hai na sahar

na shauq ki hai koi dastan jo kahni ho

nahin jo mahmil-e-laila-e-arzu sar-e-rah

to ab faza mein faza ke siwa kuchh aur nahin

nahin jo mauj-e-saba mein koi shamim-e-payam

to ab saba mein saba ke siwa kuchh aur nahin

utar de jo kinare pe hum ko kashti-e-wahm

to gird-o-pesh ko girdab hi samajhte hain

tumhaare rang mahakte hain KHwab mein jab bhi

to KHwab mein bhi unhen KHwab hi samajhte hain

na koi zaKHm na marham ki zindagi apni

guzar rahi hai har ehsas ko ganwane mein

magar ye zaKHm ye marham bhi kam nahin shayad

ki hum hain ek zamin par aur ek zamane mein

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

Jaun Elia Beautiful Nazm

तुम्हारे नाम तुम्हारे निशाँ से बे-सरोकार

तुम्हारी याद के मौसम गुज़रते जाते हैं

बस एक मन्ज़र-ए-बे-हिज्र-ओ-विसाल है जिस में

हम अपने आप ही कुछ रंग भरते जाते हैं

न वो नशात-ए-तसव्वुर कि लो तुम आ ही गए

न ज़ख़्म-ए-दिल की है सोज़िश कोई जो सहनी हो

न कोई वा’दा-ओ-पैमाँ की शाम है न सहर

न शौक़ की है कोई दास्ताँ जो कहनी हो

नहीं जो महमिल-ए-लैला-ए-आरज़ू सर-ए-राह

तो अब फ़ज़ा में फ़ज़ा के सिवा कुछ और नहीं

नहीं जो मौज-ए-सबा में कोई शमीम-ए-पयाम

तो अब सबा में सबा के सिवा कुछ और नहीं

उतार दे जो किनारे पे हम को कश्ती-ए-वहम

तो गिर्द-ओ-पेश को गिर्दाब ही समझते हैं

तुम्हारे रंग महकते हैं ख़्वाब में जब भी

तो ख़्वाब में भी उन्हें ख़्वाब ही समझते हैं

न कोई ज़ख़्म न मरहम कि ज़िंदगी अपनी

गुज़र रही है हर एहसास को गँवाने में

मगर ये ज़ख़्म ये मरहम भी कम नहीं शायद

कि हम हैं एक ज़मीं पर और इक ज़माने में

Now I would like to write the most heart touching sher of Jaun Elia Poetry.

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

Ye mujhe chain kyun nahin padta
Ek hi shaKHs tha jahan mein kya

 

ये मुझे चैन क्यूँ नहीं पड़ता
एक ही शख़्स था जहान में क्या

 

Bahut nazdik aati ja rahi ho
BichhaDne ka irada kar liya kya

 

बहुत नज़दीक आती जा रही हो
बिछड़ने का इरादा कर लिया क्या

 

Zindagi kis tarah basar hogi
Dil nahin lag raha mohabbat mein

 

ज़िंदगी किस तरह बसर होगी
दिल नहीं लग रहा मोहब्बत में

 

 

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

Meri baho mein bahakne ki saza bhi sun le
Ab bahut der me aazad karunga tujh ko

 

मेरी बहो में बहकने की सज़ा भी सुन ले
अब बहुत देर मे आज़ाद करूँगा तुझ को

 

Kis liye dekhti ho aaina
Tum to khud se bhi Khubsurat ho

 

किस लिए देखती हो आईना
तुम तो खुद से भी खूबसूरत हो

 

Ab meri koi zindagi hi nahi
Ab bhi tum meri zindagi ho kya

 

अब मेरी कोई ज़िंदगी ही नही
अब भी तुम मेरी ज़िंदगी हो क्या

 

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

 

Aur to kya tha bechne ke liye
Apni Aankho ke khwab beche hai

 

और तो क्या था बेचने के लिए
अपनी आँखो के ख्वाब बेचे है

 

Apne sab yaar kaam kar rahe hai
Aur ham hai ki naam kar rahe hai

 

अपने सब यार काम कर रहे है
और हम है की नाम कर रहे है

 

Bin tumhare kabhi nahi aai
Kya meri neend bhi tumhari hai

 

बिन तुम्हारे कभी नही आई
क्या मेरी नींद भी तुम्हारी है

 

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

main bhi bahut ajib hoon itna aiib hon ki bas

ḳhud ko tabaah kar liya aur malal bhi naheen

मैं भी बहुत अजीब हूँ इतना अजीब हूँ कि बस

ख़ुद को तबाह कर लिया और मलाल भी नहीं

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

kaise kahein ki tujh ko bhi ham se hai vasta koi

tu ne to ham se aaj tak koi gila nahin kiya

कैसे कहें कि तुझ को भी हम से है वास्ता कोई

तू ने तो हम से आज तक कोई गिला नहीं किया

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

mustaqil bolta hi rahta hoon

kitna ḳhamosh hoon main andar se

मुस्तक़िल बोलता ही रहता हूँ

कितना ख़ामोश हूँ मैं अंदर से

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

yaad use intihai karte hain

so ham us ki buraai karte hain

याद उसे इंतिहाई करते हैं

सो हम उस की बुराई करते हैं

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

dil ki takleef kam nahin karte

ab koi shikva ham nahin karte

दिल की तकलीफ़ कम नहीं करते

अब कोई शिकवा हम नहीं करते

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

bin tumhare kabhi nahin aayi

kya miri neend bhee tumhari hai

बिन तुम्हारे कभी नहीं आई

क्या मिरी नींद भी तुम्हारी है

Jaun Elia Poetry

Jaun Elia sad Shayari in Hindi

apna rishta zamin se hi rakkho

kuchh nahin asman mein rakkha

बिन तुम्हारे कभी नहीं आई

क्या मिरी नींद भी तुम्हारी है

 

So it is our latest collection Jaun Elia Poetry and we have updated it to make it more complete and deep. If you like it then please tell us how is your opinion about this collection of Jaun Elia Poetry.

Please write to us in the comment box. Your remarks are valuable to us.

 

shayari in hindi about life – Rahat indori shayari in hindi

Faiz Ahmed Faiz Poetry- Poetry that will make you Think.

Parveen Shakir Poetry in Urdu collection-An excellent Poetry of the 19th century.

Akif Rehman

View Comments

Published by
Akif Rehman

Recent Posts

Nasha Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More

3 years ago

Barish Shayari In Hindi| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More

3 years ago

Tadap Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More

3 years ago

Personality Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More

3 years ago

Pyar Ki Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More

3 years ago

Rajneeti Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm

Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More

3 years ago

This website uses cookies.

Read More