Shayari in Hindi about life is the topic which has lo limit. So many thoughts come to mind when this topic comes. There are unlimited writers are there who wrote on this topic in so many languages. Shayari in Hindi about life is the subject which covers all aspects of life. Waseem Barelvi, Basheer Badar and Munwwar Rana have written many sher on life
Shayari is the only medium by which you can say a lot of things is fewer words. Whenever anybody talks about Shayari in Hindi about life then two language stands in parallel Hindi and Urdu. Mostly writers express their thoughts in Urdu mix language so sometimes it is quite difficult to understand. So here we collect some Hindi version of Shayari in Hindi about life.
Ham apne jaan ke dushman ko apni jaan kahte hai
Muhabbat ki isi mitti ko hindustaan kahte hai
हम अपने जान के दुश्मन को अपनी जान कहते है
मुहब्बत की इसी मिट्टी को हिन्दुस्तान कहते है
Ye jo diwaar ka suraakh hai sazish ka hissa hai
Magar ham isko roshan daan kahte hai
ये जो दीवार का सुराख है साज़िश का हिस्सा है
मगर हम इसको रोशन दान कहते है
Jo dunya me sunai de use kahte ha khmooshi
Or jo ankho’n me dikhai de use tufaan kahte hai
जो दुनया मे सुनाई दे उसे कहते है खामोशी
ओर जो आँखो’न मे दिखाई दे उसे तूफान कहते है
Mere ander se ek-ek kar ke sab kuch ho gaya rukhsat
Magar ek cheez baki hai jise imaan kahte hai
मेरे अंदर से एक-एक कर के सब कुछ हो गया रुखसत
मगर एक चीज़ बाकी है जिसे ईमान कहते है
Sirf khanjar hi ni ankhoo’n me pani chahiye
Ay khuda dushman bhi mujhko khandaani chahiye
सिर्फ़ खंजर ही नि आँखू’न मे पानी चाहिए
आय खुदा दुश्मन भी मुझको खानदानी चाहिए
Maine apni kushk ankho’n se lahu chalka diya
Ek samandar kah raha tha mujhe pani chahiye
मैने अपनी कुशक आँखो’न से लहू छलका दिया
एक समंदर कह रहा था मुझे पानी चाहिए
Andhere charo taraf saye’n saye’n karne lage
Charag haath utha kar duaye’n karne lage
अंधेरे चारो तरफ साए’न साए’न करने लगे
चराग़ हाथ उठा कर दुआए’न करने लगे
Salika jinko sikhaya hamne chalne ka
Wo log aj hame daye’n baye’n karne lage
सलीका जिनको सिखाया हमने चलने का
वो लोग आज हमे दाए’न बाए’न करने लगे
Tarakki kar gaye beemariyo’n ke saudagar
Ye sab mariz hai jo ab dawaye’n karne lage
तरक्की कर गये बीमारियो’न के सौदागर
ये सब मरीज़ है जो अब दवाए’न करने लगे
Ajeeb rang tha majlis ka khoob mahfil thi
Safed posh uthe kaye’n kaye’n karne lage
अजीब रंग था मजलिस का खूब महफ़िल थी
सफेद पॉश उठे काए’न काए’न करने लगे
Naye safar naye intezaam kah den’ge
Hawa ki dhoop, charago’n ko shaam kah den’ge
नये सफ़र नये इन्तेzआम कह दें’गे
हवा की धूप, चरागो’न को शाम कह दें’गे
Kisi se hath bhi chhupkar milayye
Warna ise bhi molvi sahab haram kah den’ge
किसी से हाथ भी च्छुपकर मिलाययए
वरना इसे भी मोलवी साहब हराम कह दें’गे
Sabko ruswa bari bari kiya karo
Har mausam me fatwa zari kiya karo
सबको रुसवा बरी बरी किया करो
हर मौसम मे फ़तवा ज़ारी किया करो
Nindo’n ka ankho’n se rishta toot chuka
Apne ghar ki pahredaari kiya karo
नींदो’न का आँखो’न से रिश्ता टूट चुका
अपने घर की पहरेदारी किया करो
Roz wahi ye koshish zinda rahne ki
Marne ki bhi kuch tayyari kiya karo
रोज़ वही ये कोशिश ज़िंदा रहने की
मरने की भी कुछ तय्यरी किया करो
Chaand ziyada roshan hai to rahne do
Jugnu bhayya ji mat bhaari kiya karo
चाँद ज़ियादा रोशन है तो रहने दो
जुगनू भयया, जी मत भारी किया करो
Chalte firte hue mahtaab dikhayen’ge tumhe
Hamse milna kabhi punjab dikhayen’ge tumhe
चलते फिरते हुए महताब दिखाएँ’गे तुम्हे
हमसे मिलना कभी पंजाब दिखाएँ’गे तुम्हे
Puchte kya ho ke rumaal ke piche kya hai
Phir kisi roz ye sailab dikhayen’ge tumhe
पूछते क्या हो के रुमाल के पीछे क्या है
फिर किसी रोज़ ये सैलाब दिखाएँ’गे तुम्हे
Paseena bat ta firta hai suraj
Kabhi jo hath laga to nichod dunga use
पसीना बाटता फिरता है सूरज
कभी जो हाथ लगा तो निचोड़ दूँगा उसे
Maza chakha ke hi mana hu mai bhi dunya ko
Samajh rahi thi ke aise hi chhod dun’ga use
मज़ा चखा के ही माना हू मैं भी दुन्या को
समझ रही थी के ऐसे ही छोड़ दूं’गा उसे
Charagoo’n ko uchhala ja raha hai
Hawa par rob dala ja raha hai
चरागो’न को उच्छला जा रहा है
हवा पर रोब डाला जा रहा है
Naya suraj nikaala ja raha hai
Diye me tel dala ja raha hai
नया सूरज निकाला जा रहा है
दिए मे तेल डाला जा रहा है
Ham hi bunyad ka patthar hai’n
Lekin hame ghar se nikala ja raha hai
हम ही बूंयाद का पत्थर हैं
लेकिन हमे घर से निकाला जा रहा है
Janaze par mere likh dene yaroo’n
Muhabbat karne wala ja raha hai
जनाज़े पर मेरे लिख देने यारों
मुहब्बत करने वाला जा रहा है
Maine kuch pani bacha tha apni ankh me
Ek samandar apne sookhe hoo’th lekar a gaya
मैने कुछ पानी बचा था अपनी आँख मे
एक समंदर अपने सूखे होठ लेकर आ गया
Apne darwaze pe maine pahle khud awaz di
Or phir kuch der me khud hi nikal kar a gaya
अपने दरवाज़े पे मैने पहले खुद आवाज़ दी
ओर फिर कुछ देर मे खुद ही निकल कर आ गया.
Aisi sardi hai ki suraj bhi duhai mange
Jo ho pardes me wo kis se razai mange
ऐसी सर्दी है की सूरज भी दुहाई माँगे
जो हो परदेस मे वो किस से रज़ाई माँगे
Apne hakeem ki fakeeri pe taras ata hai
Jo gharibo’n se paseene ki kamai man’ge
अपने हकीम की फकीरी पे तरस आता है
जो ग़रीबों से पसीने की कमाई मान’गे
Apne munsif ki rehmat pe kurbaan
Katl bhi ham hue ho ham se hi safai ma’nge
अपने मुनसिफ़ की रहमत पे कुर्बान
कत्ल भी हम हुए हो हम से ही सफाई माँगे
Shahro’n me baroodo’n ka mausam hai
Gao’n chalo ye amroodo’n ka mausam hai
शहरो मे बारूदो का मौसम है
गाओं चलो ये अमरूदों का मौसम है
Meri san’so me samaya bhi bahut lagta hai
Or wohi shaks paraya bhi bahut lagta hai
मेरी सासों मे समाया भी बहुत लगता है
ओर वोही शक्स पराया भी बहुत लगता है
Usse milne ki tamanna bhi bahut hai
Lekin ane jane me kiraya bhi bahut lagta hai
उससे मिलने की तमन्ना भी बहुत है
लेकिन आने जाने मे किराया भी बहुत लगता है
Mai kitni bar luta hu
mujhe hisab to de
Teri badan ki likhawat mai hai utar chadao
Mai tujhko kaise padu’n
mujhe kitab to de
मैं कितनी बार लूटा हू
मुझे हिसाब तो दे
तेरी बदन की लिखावट में है उतार चदाओ
मैं तुझको कैसे पढ़ू मुझे किताब तो दे
Faisla jo kuch bi ho manzoor hona chahiye
Jang ho ya ishq ho bharpoor hona chahiye
फ़ैसला जो कुछ बी हो मंज़ूर होना चाहिए
जंग हो या इश्क़ हो भरपूर होना चाहिए
Kat chuki hai umar saari jinki patthar todte
Ab to in hathoo’n me kohinoor hona chahiye
काट चुकी है उमर सारी जिनकी पत्थर तोड़ते
अब तो इन हाथो मे कोहिनूर होना चाहिए
Below Updation done in the year 2020
Khud apne hi hathon ka likha kaat raha hun
Le dekh le duniya main pata kaT raha hun
Ye baat mujhe der se malum hui hai
Zinda hai ye duniya main saza kat raha hun
Duniya mere sajde ko ibaadat na samajhna
Peshani pe qismat ka likha kaat raha hun
Ab aap ki marzi hai ise jo bhi samjhiye
Lekin main ishaare se hawa kaat raha hun
Tu ne jo saza di thi jawani ke dino mein
Main umr ki chaukhat pe khada kat raha hun
This is the collection of Shayari in Hindi about life. we hope you love this. If you have any suggestions please write to us in the comment box.
Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More
Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More
Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More
Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More
Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More
Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More
This website uses cookies.
Read More
View Comments