Shayari

Urdu Shayari in Hindi Font – “उर्दू शायरी इन हिन्दी फ़ॉन्ट” (latest Collection)

Here is a collection of Urdu Shayari in Hindi Font. This Sher is written by a famous Urdu Shayar and we collect the best Shayari and make a collection of Urdu Shayari in Hindi Font. This collection is in Hindi Font as well as in English font also for better understanding.

यह उर्दू शायरी बहुत ही मशहूर उर्दू शायर की लिखी हुई नज़्म है जो की बड़ी ही पसंदीदा हुई. इस लिए हम ने कुछ अच्छे शेर तलाश कर के ये शायरी का कलेक्षन बनाया है जो की हिन्दी फ़ॉन्ट मे है ताकि आप लोग इसे समझ सके और इसका लुत्फ़ ले सके.

Waise to ye Shayari agar Urdu zabaan me padi jaye to iska maza apne alag hi hai. Lekin jo log Urdu padna nahi jante is liye hamne ye collection “Urdu Shayari in Hindi Font” tyar kiya hai taki ap log isi pad sake. In Sher ko ap Facebook or twiiter par istemaal kar sakte hain. Shayari ka maza jab hai jab ap khud ko sher me mahsoos kar sake aur ye Urdu Shayari ka kamal bhi ye ki ye kisi ye shaks ya situation tak mahdood nahi rahti balki ya har insaan aur har kafiyat ke liye hoti. To ayiye kuch aise hi sher padte hai jo is Urdu Shayari in hindi Font me maujood hai.

Urdu Shayari In Hindi Font

 

chand taare bana ke kaghaz par

khush hue ghar saja ke kaghaz par

चाँद तारे बना के कागज़् पर

खुश हुए घर सज़ा के कागज़्पर

 

bastiyan kyun talash karte hain

log jangal uga ke kaghaz par

बस्तियाँ क्यूँ तलाश करते हैं

लोग जंगल उगा के कागज़् पर

 

 

jane kya ham se kah gaya mausam

khushk patta gira ke kaghaz par

जाने क्या हम से कह गया मौसम

खुश्क पत्ता गिरा के कागज़् पर

 

 

hanste hanste mita diye us ne

shahr kitne basa ke kaghaz par

हंसते हंसते मिटा दिए उस ने

शाहर कितने बसा के कागज़् पर

 

 

ham ne chaha ki ham bhi ud jae

ek chidiya uda ke kaghaz par

हम ने चाहा की हम भी उड़ जाए

एक चिड़िया उड़ा के कागज़् पर

 

 

log sahil talash karte hain

ek dariya baha ke kaghaz par

लोग साहिल तलाश करते हैं

एक दरिया बहा के कागज़् पर

 

naav suraj ki dhup ka dariya

tham gae kaise aa ke kaghaz par

नाव सूरज की धूप का दरिया

थम गए कैसे आ के कागज़् पर

 

 

khwab bhi khwab ho gae ‘adil’

shakl-o-surat dikha ke kaghaz par

ख्वाब भी ख्वाब हो गए ‘आदिल’

शक्ल-ओ-सूरत दिखा के कागज़् पर

 


Latest Urdu Shayari in Hindi Font

 

din ke sine pe shaam ka patthar

ek patthar pe dusra patthar

दिन के सिने पे शाम का पत्थर

एक पत्थर पे दूसरा पत्थर

 

 

ye suna tha ki devta hai wo

mere haq hi me kyun hua pathar

ये सुना था की देवता है वो

मेरे हक़ ही मे क्यूँ हुआ पठार

 

daere bante aur miTte the

jheel men jab kabhi gira patthar

दायरे बनते और मिट्ते थे

झील में जब कभी गिरा पत्थर

 

 

ab to abad hai wahan basti

ab kahan tere naam ka patthar

अब तो आबाद है वहाँ बस्ती

अब कहाँ तेरे नाम का पत्थर

 

 

ho gae manzilon ke sab raahi

de raha hai kise sda patthar

हो गए मंज़िलों के सब राही

दे रहा है किसे सदा पत्थर

 

 

saare taare zamin pe gir jaate

zor se main jo phekta patthar

सारे तारे ज़मीन पे गिर जाते

ज़ोर से मैं जो फेकता पत्थर

 

 

naam ne kaam kar dikhaya hai

sab ne dekha hai tairta patthar

नाम ने काम कर दिखाया है

सब ने देखा है तैरता पत्थर

 

tu use kya uThaega ‘adil’

‘mīr’ tak se na uTha saka patthar

तू उसे क्या उठएग ‘आदिल’

‘मीर’ तक से ना उठ सका पत्थर

 


Collection of Urdu Shayari in Hindi Font

 

ek ek lamhe ko palko pe sajata hua ghar

raas aata hai kise hijr manata hua ghar

एक एक लम्हे को पलको पे सजाता हुआ घर

रास आता है किसे हिजर मानता हुआ घर

 

 

khwab ke khadshe se ab neend udi jaati hai

mai ne dekha hai use chhod ke jaata hua ghar

ख्वाब के खद्शे से अब नींद उड़ी जाती है

मैं ने देखा है उसे छोड़ के जाता हुआ घर

 

agar zaban hoti to patthar hi batata sab ko

kis qadar TooTa hai wo khud ko banata hua ghar

अगर ज़बान होती तो पत्थर ही बताता सब को

किस क़दर टूटा है वो खुद को बनाता हुआ घर

 

 

us ka ab zikr na kar chhod ke jaane waale

tu ne dekha hi kaha ashk bahata hua ghar

उस का अब ज़िक्र ना कर छोड़ के जाने वाले

तू ने देखा ही कहा अश्क बहाता हुआ घर

 

 

ab use yaad kahu ya aas kahu ya wahshat

mujh ko aata hai nazar khaak udata hua ghar

अब उसे याद कहों या आस कहों या वहशत

मुझ को आता है नज़र खाक उड़ाता हुआ घर

 

 

thak gaya kya mere tulani safar se ‘adil’

so gaya saath mere mujh ko sulata hua ghar

थक गया क्या मेरे तुलानी सफ़र से ‘आदिल’

सो गया साथ मेरे मुझ को सुलाता हुआ घर

 

So this is all about Urdu Shayari in Hindi Font and we hope you enjoyed this collection of Urdu Shayari. If you have query or suggestions please write to us in the comment box below.

Urdu Shayari In Hindi love – “love Urdu Shayari In Hindi” (2018)

Sad Urdu Shayari in Hindi – Best of Urdu Shayari In Hindi (2018)

Emotional Shayari in Hindi on life – Munawwar Rana Updated(2018)

Arsh Ali

Published by
Arsh Ali

Recent Posts

Nasha Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More

2 years ago

Barish Shayari In Hindi| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More

2 years ago

Tadap Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More

2 years ago

Personality Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More

2 years ago

Pyar Ki Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More

2 years ago

Rajneeti Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm

Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More

3 years ago

This website uses cookies.

Read More