Categories: Urdu Poet

Kaifi Azmi Shayari|Kaifi Azmi Poems| An Amazing Poetry of 19th Century

Kaifi Azmi Shayari is one of the best poetry in Urdu Adab. Kaifi Azmi Poetry is very popular in Bollywood Songs. Kaifi Azmi is one of the best urdu Poets.

Sayyid Akhtar Hussein Rizvi, with his takhallus Kaifi Azmi, (14 January 1919 – 10 May 2002) was an Indian Urdu poet. He is remembered as the one who brought Urdu literature to Indian motion pictures. Together with many other poets like John Elia and others he participated in the most memorable mushairas of the twentieth century.

Azamgarh is also my hometown, So before writing anything on Kaif Azmi Shayri I Search and read many other websites on Kafi Azmi. I found an Official Website  Kaifi Azmi – REBEL With A Cause.

It is my honor to say that kaifi Azmi loves his hometown very much. He is very popular in Azamgarh, You can judge his popularity by train Named Kaifiyat Express. The name Kaifiyat tributes to Legendary Poet Late Mr. Kaifi Azmi, who belonged to Azamgarh.

My introduction to the word Kaifi Azmi is very Interesting, During My childhood when I go to Azamgarh in my summer vacation, and the train is passed by station name “Khorasan Road” which is nearby Mijwan,  I Found a small park named as Kaifi Azmi Park. Anyway, time passes and I grow up and start reading poetry. I heard about Kaifi Azmi then I come to understand why that park name is Kaifi Azmi.

Before spending any more time I directly come to the title of this post-Kaifi Azmi Shayari. So here are a few famous sher of Kaifi Azmi Poems.

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

Bas ik jhijak hai yahi hal-e-dil sunane me
Ki tera zikr bhi aaega is fasane me

बस इक झीजक है यही हाल-ए-दिल सुनने मे
की तेरा ज़िक्र भी आएगा इस फसाने मे

Jhuki Jhuki si nazar be-qarar hai ki nahi
Daba Daba sa sahi dil me pyaar hai ki nahi

झुकी झुकी सी नज़र बे-क़रार है की नही
दबा दबा सा सही दिल मे प्यार है की नही

Muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
Ji ḳhush to ho gaya magar aansu nikal pade

मुद्दत के बाद उस ने जो की लुत्फ़ की निगाह
जी खुश तो हो गया मगर आँसू निकल पड़े

Rahne ko sada dahr me aata nahi koi
Tum jaise gae aise bhi jaata nahi

रहने को सदा दहर् मे आता नही कोई
तुम जैसे गए ऐसे भी जाता नही

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

Belche laao kholo zami ki tahe
Mai kaha dafn hu kuch pata to chale

बेलछे लाओ खोलो ज़ामी की तहे
मैं कहा दफ़्न हू कुछ पता तो चले

Jo ik Khuda nahi milta to itna matam kyu
Yaha to koi mera ham-zaban nahi milta

जो इक खुदा नही मिलता तो इतना मातम क्यू
यहा तो कोई मेरा हम-ज़बान नही मिलता

Bahar aae to mera salam kah dena
Mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne
बाहर आए तो मेरा सलाम कह देना
मुझे तो आज तलब कर लिया है सहरा ने

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

Koi kahta tha samundar hu mai
Aur meri jeb me qatra bhi nahi

कोई कहता था समुंदर हू मैं
और मेरी जेब मे क़तरा भी नही

Roz badhta hu jaha se aage
Phir vahi laut ke aa jaata hu
रोज़ बढ़ता हू जहा से आयेज
फिर वही लौट के आ जाता हू

Roz baste hai kai shahr nae
Roz dharti me sama jaate hai

रोज़ बस्ते है कई शाहर नए
रोज़ धरती मे समा जाते है

When I reading his Official Website I found some very interesting facts of his life that Kaifi Azmi wrote his first ghazal 

‘Itna to Zindagi me Kisi ki khalal pade’ at the age of eleven. He joined the Communist Party at the age of 19, and started writing for the party’s paper, ‘Qaumi Jung’ and moved to Bombay. Recognized as one of the finest poets of our times, Kaifi Azmi is also the most awarded Urdu poet. Anyway now I would like to write a few famous Ghazal of Kaifi Azmi Poetry.

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

Hath aa kar laga gaya koi
Mera chhappar uTha gaya koi

Lag gaya ek mashin mein main bhi
Shahr mein le ke aa gaya koi

Mai khada tha ki pith par meri
Ishtihaar ek laga gaya koi

Ye sadi dhup ko tarasti hai
Jaise suraj ko kha gaya koi

Aisi mahngai hai ki chehra bhi
Bech ke apna kha gaya koi

Ab wo arman hain na wo sapne
Sab kabutar uda gaya koi

Wo gae jab se aisa lagta hai
Chhota mota KHuda gaya koi

Mera bachpan bhi sath le aaya
Ganw se jab bhi aa gaya koi

हाथ आ कर लगा गया कोई
मेरा छप्पर उठा गया कोई

लग गया इक मशीन में मैं भी
शहर में ले के आ गया कोई

मैं खड़ा था कि पीठ पर मेरी
इश्तिहार इक लगा गया कोई

ये सदी धूप को तरसती है
जैसे सूरज को खा गया कोई

ऐसी महँगाई है कि चेहरा भी
बेच के अपना खा गया कोई

अब वो अरमान हैं न वो सपने
सब कबूतर उड़ा गया कोई

वो गए जब से ऐसा लगता है
छोटा मोटा ख़ुदा गया कोई

मेरा बचपन भी साथ ले आया
गाँव से जब भी आ गया कोई

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

Tum itna jo muskura rahe ho
Kya gham hai jis ko chhupa rahe ho

Aankhon mein nami hansi labon par
Kya haal hai kya dikha rahe ho

Ban jaenge zahr pite pite
Ye ashk jo pite ja rahe ho

Jin zaKHmon ko waqt bhar chala hai
Tum kyun unhen chheDe ja rahe ho

Rekhaon ka khel hai muqaddar
Rekhaon se mat kha rahe ho

तुम इतना जो मुस्कुरा रहे हो
क्या ग़म है जिस को छुपा रहे हो

आँखों में नमी हँसी लबों पर
क्या हाल है क्या दिखा रहे हो

बन जाएँगे ज़हर पीते पीते
ये अश्क जो पीते जा रहे हो

जिन ज़ख़्मों को वक़्त भर चला है
तुम क्यूँ उन्हें छेड़े जा रहे हो

रेखाओं का खेल है मुक़द्दर
रेखाओं से मात खा रहे

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

Aaj socha to aansu bhar aae
Muddaten ho gaye muskurae

Har qadam par udhar mud ke dekha
Un ki mahfil se hum uth to aae

Rah gai zindagi dard ban ke
Dard dil mein chupae chupae

Dil ki nazuk ragen tuti hai
Yaad itna bhi koi na aae

आज सोचा तो आँसू भर आए
मुद्दतें हो गईं मुस्कुराए

हर क़दम पर उधर मुड़ के देखा
उन की महफ़िल से हम उठ तो आए

रह गई ज़िंदगी दर्द बन के
दर्द दिल में छुपाए छुपाए

दिल की नाज़ुक रगें टूटती हैं
याद इतना भी कोई न आए

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

Shor yuhi na parindo ne machaya hoga
Koi jangal ki taraf shahr se aaya hoga

Ped ke kaatne walon ko ye malum to tha
Jism jal jaenge jab sar pe na saya hoga

Bani-e-jashn-e-bahaara ne ye socha bhi nahi
Kis ne kanto ko lahu apna pilaya hoga

Bijli ke tar pe baitha hua hansta panchi
Sochta hai ki wo jangal to paraya hoga

Apne jangal se jo ghabra ke ude the pyase
Har sarab un ko samundar nazar aaya hoga

शोर यूँही न परिंदों ने मचाया होगा
कोई जंगल की तरफ़ शहर से आया होगा

पेड़ के काटने वालों को ये मालूम तो था
जिस्म जल जाएँगे जब सर पे न साया होगा

बानी-ए-जश्न-ए-बहाराँ ने ये सोचा भी नहीं
किस ने काँटों को लहू अपना पिलाया होगा

बिजली के तार पे बैठा हुआ हँसता पंछी
सोचता है कि वो जंगल तो पराया होगा

अपने जंगल से जो घबरा के उड़े थे प्यासे
हर सराब उन को समुंदर नज़र आया होगा

As I said any poetry is not complete without Nazm, So here I would like to write famous Nazm of Kaifi Sahab.

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

Aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai
Aaj ki raat na footpath pe nind aaegi
Sab uTho, main bhi uThun tum bhi uTho, tum bhi uTho
Koi khiDki isi diwar mein khul jaegi

Ye zamin tab bhi nigal lene pe aamada thi
Panw jab TuTti shaKHon se utare hum ne
Un makanon ko KHabar hai na makinon ko KHabar
Un dinon ki jo guphaon mein guzare hum ne

Hath Dhalte gae sanche mein to thakte kaise
Naqsh ke baad nae naqsh nikhaare hum ne
Ki ye diwar buland, aur buland, aur buland
Baam o dar aur, zara aur sanware hum ne

Aandhiyan toD liya karti thin shamon ki lawen
JaD diye is liye bijli ke sitare hum ne
Ban gaya qasr to pahre pe koi baiTh gaya
So rahe KHak pe hum shorish-e-tamir liye

Apni nas nas mein liye mehnat-e-paiham ki thakan
Band aankhon mein usi qasr ki taswir liye
Din pighalta hai usi tarah saron par ab tak
Raat aankhon mein khaTakti hai siyah tir liye

Aaj ki raat bahut garm hawa chalti hai
Aaj ki raat na footpath pe nind aaegi
Sab uTho, main bhi uThun tum bhi uTho, tum bhi uTho
Koi khiDki isi diwar mein khul jaegi

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

आज की रात बहुत गर्म हवा चलती है
आज की रात न फ़ुट-पाथ पे नींद आएगी
सब उठो, मैं भी उठूँ तुम भी उठो, तुम भी उठो
कोई खिड़की इसी दीवार में खुल जाएगी

ये ज़मीं तब भी निगल लेने पे आमादा थी
पाँव जब टूटती शाख़ों से उतारे हम ने
उन मकानों को ख़बर है न मकीनों को ख़बर
उन दिनों की जो गुफाओं में गुज़ारे हम ने

हाथ ढलते गए साँचे में तो थकते कैसे
नक़्श के बाद नए नक़्श निखारे हम ने
की ये दीवार बुलंद, और बुलंद, और बुलंद
बाम ओ दर और, ज़रा और सँवारे हम ने

आँधियाँ तोड़ लिया करती थीं शम्ओं की लवें
जड़ दिए इस लिए बिजली के सितारे हम ने
बन गया क़स्र तो पहरे पे कोई बैठ गया
सो रहे ख़ाक पे हम शोरिश-ए-तामीर लिए

अपनी नस नस में लिए मेहनत-ए-पैहम की थकन
बंद आँखों में उसी क़स्र की तस्वीर लिए
दिन पिघलता है उसी तरह सरों पर अब तक
रात आँखों में खटकती है सियह तीर लिए

आज की रात बहुत गर्म हवा चलती है
आज की रात न फ़ुट-पाथ पे नींद आएगी
सब उठो, मैं भी उठूँ तुम भी उठो, तुम भी उठो
कोई खिड़की इसी दीवार में खुल जाएगी

Kaifi Azmi is originated from the zamindar family of Azamgarh. Zamindar is a people who are associated with farming. In another word, you say that they are farmers or Kisan. In India from the beginning farmer financial is not very good and it remains to this date.He knows well about the pain and tough life of a farmer. He writes Nazm on Kisan.

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

So here is the beautiful Nazm “Kisan” of Kaifi Azmi Shayari.

Cheer ke sal me do bar zamin ka sina
Dafn ho jata hu
Gudgudate hai jo suraj ke sunaihre nakhun
Phir nikal aata hun
Ab nikalta hu to itna ki batore jo koi daman me
Daman phat jae
Ghar ke jis kone me le ja ke koi rakh de mujhe
Bhuk wahan se hat jae
Phir mujhe piste hain, gundhte hain, senkte hain
Gundhne senkne me shakl badal jati hai
Aur ho jati hai mushkil pahchan
Phir bhi rahta hun kisan
Wahi Khasta, bad-haal
Qarz ke panja-e-Khuni me Nidhaal
Is daranti ke tufail
Kuch hai mazi se ghanimat mera haal
Haal se hoga hasin istiqbaal
Uthte suraj ko zara dekho to
Ho gaya sara ufuq laln-lal

Kaifi Azmi Shayari

Kaifi Azmi Poems

चीर के साल में दो बार ज़मीं का सीना
दफ़्न हो जाता हूँ
गुदगुदाते हैं जो सूरज के सुनहरे नाख़ुन
फिर निकल आता हूँ
अब निकलता हूँ तो इतना कि बटोरे जो कोई दामन में
दामन फट जाए
घर के जिस कोने में ले जा के कोई रख दे मुझे
भूक वहाँ से हट जाए
फिर मुझे पीसते हैं, गूँधते हैं, सेंकते हैं
गूँधने सेंकने में शक्ल बदल जाती है
और हो जाती है मुश्किल पहचान
फिर भी रहता हूँ किसान
वही ख़स्ता, बद-हाल
क़र्ज़ के पंजा-ए-ख़ूनीं में निढाल
इस दरांती के तुफ़ैल
कुछ है माज़ी से ग़नीमत मिरा हाल
हाल से होगा हसीं इस्तिक़बाल
उठते सूरज को ज़रा देखो तो
हो गया सारा उफ़ुक़ लालों-लाल

Hereby I Attached SM Mehndi Interview, SM Mehndi Sahab is a close friend of Kaifi Azmi who reveals some interesting phases of kaifi Azmi Life. He said that Kaifi Azmi LIves in Kanpur, After his marriage, his first child has Died, etc.

 

So it is our latest collection Kaifi Azmi Shayari and we will update from time to time. If you liked then please tell us that how was your opinion about this collection Kaifi Azmi Shayari. Please write to us in the comment box

Daag Dehlvi Shayari in Hindi-An Extraordinary Poetry of 18th Century.

Gulzar Shayari in Hindi|Gulzar Shayari|An Famous Poetry of 2020

Majaz Shayari|An Excellent Poetry of 19th Century

 

Akif Rehman

Published by
Akif Rehman

Recent Posts

Nasha Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More

2 years ago

Barish Shayari In Hindi| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More

2 years ago

Tadap Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More

2 years ago

Personality Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More

2 years ago

Pyar Ki Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More

2 years ago

Rajneeti Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm

Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More

3 years ago

This website uses cookies.

Read More