Shayari

Best Two Line Shayari Ever – “2 Line shayari” in Hindi (2018)

Here is a collection of best two line Shayari ever. Shayari in this collection is mostly said by Bashir Badr. He was a very famous poet of Urdu Adab. He won so many awards and also won the Padma Shri award in 1999. This is the best two line Shayari ever. You can use this best two line Shayari ever for your Facebook or twitter post. You can also this collection with someone who is special to you. So read this collection of Urdu Shayari in Hindi because most of the people were not able to read the Urdu language.

Nowadays most of people two line Shayari or short Shayari which have so many words. Bashir Badr was a Shayar who are able to say more words in the shorter one. So let’s read this collection of best two line Shayari ever and enjoy.

 

best two line Shayari ever

 

dil men ek tasvir chupi thi aan basi hai ankhon me

shayad ham ne aaj ġhazal si baat likhi hai ankhon me

 

jaise ek harijan ladki mandir ke darvaze par

shaam diyo ki thaal sajae jhank rahi hai ankhon me

is rumal ko kaam me laao apni palken saaf karo

maila maila chand nahin hai dhul jami hai ankhon me

 

padhta ja ye manzar-nama zard azeem pahadon ka

dhuup khili palkon ke upar barf jami hai ankhon me

 

maine ek novel likkha hai aane vaali subh ke naam

kitni raton ka jaaga huun neend bhari hai ankhon me


Two Line Shayari

 

dua karo ki ye pauda sada hara hi lage

udasiyo me bhi chehra khila khila hi lage

 

wo sadgi na kare kuchh bhi to ada hi lage

vo bhola-pan hai ki bebaki bhi haya hi lage

ye zafrani pullover usi ka hissa hai

koi jo dusra pahne to dusra hi lage

 

nahi hai mere muqaddar me raushni na sahi

ye khidki kholo zara subh ki hawa hi lage

 

ajiib shakhs hai naraz ho ke hansta hai

mai chahta hun khafa ho to wo khafa hi lage

 

hasi to aur hai lekin koi kaha tujh sa

jo dil jalae bahut phir bhi dilruba hi lage

 

hazaro bhes me phirte hai raam aur rahim

koi zaruri nahi hai bhala bhala hi lage


Bashir Badr 2 line Shayari

 

falak se chand sitaro se jaam lena hai

mujhe sahar se nai ek shaam lena hai

 

kise khabar ki farishte ghazal samajhte hai

khuda ke samne kafir ka naam lena hai

muamla hai tera badtareen dushman se

mere azeez mohabbat se kaam lena hai

 

mahakti zulfo se khushbu chamakti aankh se dhup

shabo se jam-e-sahar ka salam lena hai

 

tumhari chaal ki ahistagi ke lahje me

sukhan se dil ko masalne ka kaam lena hai

 

nahi mai ‘mir’ ke dar par kabhi nahi jaata

mujhe khuda se ghazal ka kalam lena hai

 

bade saliqe se noton  me us ko tulwa kar

ameer-e-shahr se ab intiqam lena hai


2 line Shayari

 

ghazlon ka hunar apni ankhon ko sikhaenge

roenge bahut lekin aansu nahin aenge

 

kah dena samundar se ham os ke moti hain

dariya ki tarah tujh se milne nahin aenge

 

wo dhup ke chhappar hon ya chhanw ki diwaren

ab jo bhi uThaenge mil jul ke uThaenge

 

jab saath na de koi awaz hamen dena

ham phul sahi lekin patthar bhi uThaenge

ghar se nikle agar ham bahak jaenge

wo gulabi katore chhalak jaenge

 

ham ne alfaz ko aaina kar diya

chhapne waale ghazal men chamak jaenge

 

dushmani ka safar ek qadam do qadam

tum bhi thak jaoge ham bhi thak jaenge

 

rafta rafta har ek zakhm bhar jaega

sab nishanat phulon se dhak jaenge

 

naam paani pe likhne se kya faeda

likhte likhte tere haath thak jaenge

 

ye parinde bhi kheton ke mazdur hain

laut ke apne ghar shaam tak jaenge

 

din me pariyon ki koi kahani nasun

jangalon men musafir bhaTak jaenge


2 line Hindi Shayari

 

hansi maasum si bachcho ki copy men ibaarat si

hiran ki peeth par baithe parinde ki shararat si

 

wo jaise sardiyon men garm kapde de faqiron ko

labon pe muskurahat thi magar kaisi haqarat si

udasi pat-jhado ki shaam odhe rasta takti

pahadi par hazaron saal ki koi imarat si

 

sajae bazuon par baazu wo maidan men tanha tha

chamakti thi ye basti dhup men taraj o gharat si

 

meri aankhon mere honton pe ye kaisi tamazat hai

kabutar ke paron ki reshmi ujli hararat si

 

khila de phul mere baagh men paighambaro jaisa

raqam ho jis ki peshani pe ek aayat basharat si

hai ajeeb shaher ki zindagi na safar raha na qayam hai

kahin karobar si dopahr kahin bad-mizaj si shaam hai

 

yuhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhav ki guftugu

ye sharafaten nahi be-gharaz ise aap se koi kaam hai

 

kahan ab duao ki barkate wo nasihate wo hidayate

ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai

 

wo dilon men aag lagaega main dilo ki aag bujhaunga

use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

 

na udaas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar

kai saal baad mile hain ham tere naam aaj ki shaam hai

 

koi naghma dhup ke gaao sa koi naghma shaam ki chhanw sa

zara in parindon se puchna ye kalam kis ka kalam hai


Shayari of Bashir Badr 2 line

 

hamara dil sawere ka sunahra jaam ho jaae

charaghon ki tarah ankhen jale jab shaam ho jae

 

kabhi to asman se chand utre jaam ho jaae

tumhare naam ki ek ḳhub-surat shaam ho jae

ajab halat the yun dil ka sauda ho gaya akhir

mohabbat ki haweli jis tarah nilam ho jaae

 

samundar ke safar men is tarah awaz de ham ko

hawaen tez hon aur kashtiyon men shaam ho jaae

 

mujhe malum hai us ka thikana phir kahan hoga

parinda asman chhune men jab nakam ho jae

 

ujale apni yadon ke hamare saath rahne do

na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jae


Best Two Line Shayari Ever

 

hamare paas to aao bada andhera hai

kahi na chor ke jaao bada andhera hai

 

udaas kar gae be-sakhta latife bhi

ab ansuon se rulao bada andhera hai

 

koi sitara nahi pattharon ki palkon par

koi charagh jalao bada andhera hai

 

haqiqaton men zamana bahut guzar chuke

koi kahani sunao bada andhera hai

 

kitaben kaisi uTha  laye mai-kade waale

ghazal ke jaam uthao bada andhera hai

 

ghazal men jis ki hamesha charagh jalte hain

use kahin se bulao baDa andhera hai

 

wo chandni ki basharat hai harf-e-akhir tak

‘bashir-badr’ ko laao bada andhera hai

 

Below written sher is updated in the year 2020

best two line Shayari ever

 

Mujhe lagta hai dil khinch kar chala aata hai hatho par
Tujhe likkhu to meri ungliya aesi dhadakti hai

 

So this is all about the best two line Shayari ever. We hope you enjoyed this Shayari collection. If you have any queries or suggestions please feel free to write to us in the comment box below.

2 line shayari in hindi – latest collection of two line shayari in hindi

Arsh Ali

Published by
Arsh Ali

Recent Posts

Nasha Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More

2 years ago

Barish Shayari In Hindi| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More

2 years ago

Tadap Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More

2 years ago

Personality Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More

2 years ago

Pyar Ki Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm For Lovers

Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More

2 years ago

Rajneeti Shayari| Best 25+ Sher, Ghazal, & Nazm

Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More

3 years ago

This website uses cookies.

Read More