Here is a collection of Pyar bhari Shayari in Hindi 140 words. This Shayari is written by Tahir Faraz and it is a very famous poem. So we got this and make a Hindi version of Pyar Bhari Shayari in Hindi 140. We tried to convert this poem in Hindi font and English as well. In this collection, we add some Sher from others. Pyar bhari Shayari in Hindi 140 is a broad topic and so many different ways to express love but this Shayari by Tahir Faraz is awesome and so many people know Tahir Faraz only by this poem. So read this Pyar bhari Shayari in Hindi 140 words and enjoy this.
Bahut khoobsurat ho tum bahut khoobsurat ho tum
Kabhi mai jo kah du muhabbat hai tumse
To mujhko khudara galat mat samajhna
Ke meri zaroorat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
बहुत खूबसूरत हो तुम बहुत खूबसूरत हो तुम
कभी मैं जो कह दू मुहब्बत है तुमसे
तो मुझको खुदरा ग़लत मत समझना
के मेरी ज़रूरत हो तुम
बहुत खूबसूरत हो तुम
Hai phoolo ki dali ye bahe’n tumhari
Hai khamosh jadu nigahen tumhari
Jo kaate ho sab apne daaman me rakh lu
Sajao’n main kaliyon se raahe tumhari
है फूलो की डाली ये बाहें तुम्हारी
है खामोश जादू निगाहें तुम्हारी
जो काटे हो सब अपने दामन मे रख लू
सजाऊ मैं कलियों से राहे तुम्हारी
Nazar se zamane ki khud ko bachana
Kisi aur se dekho dil na lagana
Ke meri amaanat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
नज़र से ज़माने की खुद को बचना
किसी और से देखो दिल ना लगाना
के मेरी अमानत हो तुम
बहुत खूबसूरत हो तुम
Hai chehra tumhara ke din hai sunahra
Aur us par ye kali ghatao ka pahra
Gulaboo se nazuk mahekta badan hai
Ye lab hai tumhare ke khilta chaman hai
है चेहरा तुम्हारा के दिन है सुनहरा
और उस पर ये काली घटाओ का पहरा
गुलबों से नाज़ुक माहेकता बदन है
ये लब है तुम्हारे के खिलता चमन है
Bikhero jo zulfe to sharmae badal
Ye zahid bhi dekhe to ho jaye pagal
Wo pakeeza moorat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
बिखेरो जो ज़ूलफे तो शर्माए बदल
ये ज़ाहिद भी देखे तो हो जाए पागल
वो पाकीज़ा मूरत हो तुम
बहुत खूबसूरत हो तुम
Jo ban ke kali muskurati hai aksar
Shab-e-hijr me jo rulati hai aksar
Jo lamho hi lamho me dunya badal de
Jo shayar ko de jaye pahlu gazal ke
जो बन के काली मुस्कुराती है अक्सर
शब-ए-हिजर मे जो रूलाती है अक्सर
जो लम्हो ही लम्हो मे दुन्या बदल दे
जो शायर को दे जाए पहलू ग़ज़ल के
Chupana jo chahe chupai na jaye
Bhulna jo chahe bhula hi na paye
Wo pahli muhabbat ho tum
Bahut khoobsurat ho tum
छुपाना जो चाहे चुपाई ना जाए
भूलना जो चाहे भुला ही ना पाए
वो पहली मुहब्बत हो तुम
बहुत खूबसूरत हो तुम
*******************************************************************************
Yaadon ki keemat wo kya jane
Jo khud yadoon ko mita diya karte hain
Yadoon ka matlab to unse poocho jo
Yaadon ke sahare jiya karte hai
यादों की कीमत वो क्या जाने
जो खुद यादों को मिटा दिया करते हैं
यादों का मतलब तो उनसे पूछो जो
यादों के सहारे जिया करते है
Ek ajeeb sa rishta hai
Meri khwahisho ke darmiyan
Wo mujhe jeene nahi deti
Aur mai unhe marne nahi deta
एक अजीब सा रिश्ता है
मेरी ख्वाहिशो के दरमियाँ
वो मुझे जीने नही देती
और मैं उन्हे मरने नही देता
Museebat aati hai to aaye
Ham bhi dat kar khade hai rahon me
Aazmayisho ke is khel me
Ham itni aasani se na bhikhrenge
मुसीबत आती है तो आए
हम भी डट कर खड़े है राहों मे
आज़माइशो के इस खेल मे
हम इतनी आसानी से ना भिखरेंगे
Khoobya itni to nahi ham me ke
Tumhe kabhi yaad ayenge
Par itna bharosa hai hame khud par
Aap hame bhool na payenge
खूबया इतनी तो नही हम मे के
तुम्हे कभी याद आएँगे
पर इतना भरोसा है हमे खुद पर
आप हमे भूल ना पाएँगे
Below written sher is updated in the year 2020
इस दफ़ा बारिशें रुकती नही है फ़राज़,
हम ने आँसू क्या पिए सारे मौसम रो पड़े
Ab ke ham bichde to shayad kabhi khwabon men mile
Jis tarah sukhe hue phul kitabon men mile
अब के हम बिछड़े तो शायद कभी ख्वाबों में मिले
जिस तरह सूखे हुए फूल किताबों में मिले
So this is the collection of Pyar bhari Shayari in Hindi 140 words. We hope you enjoyed this collection. If you have any kind of query or suggestions please write to us in the comment box.
Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More
Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More
Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More
Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More
Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More
Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More
This website uses cookies.
Read More
View Comments