Faiz Ahmad Faiz won the Lenin Peace Prize. He was born in Punjab, British India. Faiz related from a well-educated family that was well known in literary circles. Faiz was also awarded in the British Empire Medal. After Pakistan’s independence, Faiz became the editor to The Pakistan Times and a leading member of the Communist Party.
Aaye kuchh abr kuch sharab aye
us ke baad aye jo azaab aaye
Baam-e-meenaa se mahataab utare
dast-e-saaqi me’n aftaab aaye
har rag-e-Khu’n me’n phir charaagaa’n ho
saamane phir wo benaqaab aaye
umr ke har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafaa ke baab aaye
kar rahaa thaa Gam-e-jahaa’n kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye
na gyi tere Gam ki saradaari
dil me’n yu’n roz inqalaab aaye
jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanama’n_Kharaab aaye
is tarah apanii Khamashi gu’nji
goyaa har simt se jawaab aaye
‘Faiz’ thi raah sar basar ma.nzil
ham jaha’n pahu’nche kaamayaab aaye
bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharaba’n sitam kyaa hai
kare na jag me’n alaav to sher kis maqasad
kare na shahar me’n jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai
ajal ke haath koi aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist me’n raqam kyaa hai
sajaao bazm Gazal gaao jaam taazaa karo
bahut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai
lihaaz me’n ko_ii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar me;n ab Khizr kaa bharam kyaa hai
ham par tumhari chaah kaa ilzaam hi to hai
dushnaam to nahi’n hai ye ikaraam hi to hai
karate hai.n jis pe taa’n, koii jurm to nahii.n
shauq-e-fuzuul-o-ulfat-e-nakaam hii to hai
dil muddaii ke harf-e-malaamat se shaad hai
ae jaan-e-jaa’n ye harf teraa naam hii to hai
dil naa-ummeed to nahi’n, na-kaam hii to hai
lambi hai Gam kii shaam, magar shaam hii to hai
dast-e-falak me’n, gardish-e-taqadiir to nahii.n
dast-e-falak me’n, gardish-e-ayyaam hii to hai
aaKhir to ek roz karegii nazar wafaa
wo yaar-e-Khush-Khasaal sar-e-baam hi to hai
bhiigii hai raat ‘Faiz’ Gazal ibtidaa karo
waqt-e-sarod dard kaa ha.ngaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz Shayari always touch the hearts and give lots of knowledge always. Faiz Ahmad Faiz remains immortal in his Shayari. The revolutionary poet was a revered figure whose poems encouraged the oppressed to break-free.
http://www.urdupoetry.com
Nasha Shayari ek aisa collection hai shayari ka jisme shayar nashe ke zariye apni mohabbat ka izhar… Read More
Barish Shayari In Hindi me sher ko is tarah beyan keya hai ke barish ka mausam… Read More
Tadap Shayari mein behtarin tadap ke ahsas ko beyan keya gaya hai. Is sher mein ek aisi tadap hai… Read More
Personality har insan ka aham hissa hai. Har insaan ki apni ek alag pehchaan aor… Read More
Pyar Ki Shayari logon ki pasandida shayari mein se ek hai, is mein shayar apne pyar… Read More
Rajneeti Shayari is a subject on which a large chunk of written work has been done.… Read More
This website uses cookies.
Read More
View Comments